Gusal Jnabat Kaise Kiya Jaye?
BismillahirRahmanNirRaheem
___________________
Gusul e Janaabat Ka Tareeqa:
( Napaki ke bad pak hone ke liye jo gusl karte hain)
-------------------------------- Rasool Allah ﷺ ne ghusl ka iraada farmaya to sab se pehle
👉 dono’n hath dhote
👉phir sharamgaah (private part) ko dhote.
👉 phir baya’n haath, jis se sharamgaah dhoya.
👉 phir kulli ki aur naak main paani daalte.
👉phir chehra dhote.
👉 phir kohniyo’n tak haath dhote.
👉phir sar par paani daala aur balo’n ki jado’n tak paani pon’hchate.
👉phir 3 baar sar par paani daalte.
👉 phir tamaam badan par pani dalte.
🔰(Bukhari: al Ghusl 265)
🔰 ( Muslim: al Haiz 317)
👉 Rasool Allah ﷺ ke gusl janaabat me wazu ka zikr karte hue farmate hain ke aapne sar ka masah nahi kia balke is par pani dala. Imam Nasai ne is hadees par ye baab baandha hai: ‘Janaabat ke wazu me sar ke masah ko tark karna.’
🔰 (Nasai: al Ghusl 420 Volume 1 P205)
___________________
No comments:
Post a Comment