NA-MEHRAM PAR PAHLI NAZAR MUAF HAI PAR DUSRI NAHI:
किसी पराई औरत या किसी अजनबी लड़की जो हमारी मां बहन नहीं है उसको घूर घूर कर देखना कैसा तरीका है? इसके बारे में इस्लाम क्या कहता है?
Ibn Buraidah riwayat karte hai apne walid se ki,
RasoolAllah Sallallhu-alaihi wasallam ne farmaya:
"Aye Ali ! Pahli nazar ke sath pahli nazar ki pairwi na karo. Pahli nazar tumhare liye hai lekin dusri nazar tumhare liye nahi hai.."
*(Tirmizi: Vol. 1, Book 41, Hadees 2777)
*Is hadees ki wazahat yeh hai ki agar achanak se pahli nazar padti hai to pahli nazar to muaf hai lekin dusri nazar muaf nai hai. Isliye use dusri nazar se bachna chahiye.
Abdullah bin Abbas riwayat karte hai ki jab Al-Fazl bin Abbas Allah ke Rasool ke piche sawari kar rahe the, Khath’am ke kabiley ki ek Khwateen RasoolAllah Sallallahu-alaihi wasallam ke paas ek deeni faisla puchne aayi.
Fazl ne us khwateen ke taraf dekha aur unhone bhi Fazl ki taraf dekha. Allah ke Rasool ne Fazl ka chehra dusri taraf mod diya.."
(Sahih Muslim: hadees 1334)
No comments:
Post a Comment