find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Har Farz Namaj ke bad Hath Utha Kar Dua Maangna Kaisa Hai?

FARZ NAMAZ K BAAD IJTIMAI DUA

Bismillahirrahmanirraheem


Farz namaz ke baad ijtimai dua ke saboot mai koi makbool hadees nahi hai nihayat tajjub ki baat hai k Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Madina munawwara mai 10 saal rahe, pancho waqt namaze padhai, Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhu Ajmaeen ki kaseer tadaad ne aap ki iqtida mai namaze padhi magar un mai se koi ek bhi ijtimai dua ka zikar na kare to ye iske batlaane ki wazae daleel hai.*

Molana Abdul Rehman Mubarakpuri kehte hai agar koi infiradi tour par namaz ke baad hath utha kar dua mang leta hai to us mai koi harj nahi.

*Sayyedna Salman farsi Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "tumhara Rab bada haya karne wala aur sakhi hai, jab banda uske hazoor hath uthata hai to unhe khaali hath lautate hue use sharm aati hai" (Ibne Maja Kitabud Dua Hadees No. 3865)*

*Imam Ibne Taimiya, Ibne Qayyim, Ibe Hajar Rehmatullahi Alai aur bahut se ulma ne farz namaz ke baad ijtimai dua ka inkaar kiya hai aur ise bid'at kaha hai.

*Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ankareeb meri ummat mai aeise log paida honge jo pani ke istemaal mai aur dua karne mai had se tajawuz karenge". (Abu Dawood Kitabul Witr, Iben Maja Kitabud Dua, ise Imam Hakim Aur Imam Zehbi ne sahi kaha).

Ijtimai Dua ki daleel mai bayan ki jane wali tamaam riwayaat zaeef hai tafseel hasab zael hai:

*Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke jo banda har namaz ke baad apne dono hath phela kar dua kare Allah Ta'ala uske hatho ko namurad nahi lautata. (Ibne Sani 138)*

Iski sanad mai:

1. Ishaq bin khlid hai jo munkir Ahadees riwayat karta hai.
2. Imam Ahmed Ibne Hambal Rehmatullahi Alai farmate hai ke (is ke ek aur raavi) Abdul Azeez Bin Abdul Rehman ki khusaef se bayan karda riwayat jhooti aur manghadat hoti hai.
3. Khusaef ka Anas Razi Allahu Anhu se sun'na maloom nahi.
4. iske alawa is riwayat mai ijtimai dua ka koi zikr nahi hai.
5. Yazeed Bin Aswad Aamari Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasoolullah SAW ne namaz fajar ka salaam phera aur dono hath utha kar dua mangi. (Fatawa Nazidiya)

*is hadees ki sanad hasan hai magar Molana Ubaidullah Rehmani likhte hai "kutub Ahadees ke andar asal hadees mai (WA RAFA A YADAI HI FADA A) dono hath utha kar dua mangi ke alfaaz maujood nahi hai" iske alawa isme bhi ijtimai dua ka zikr nahi hai.

Kya farz namazo ke baad hath utha kar ijtimai dua karna bida'at hai? is silsile mai darj zail umoor kabil e gaur hai:

*1. Hath utha kar dua karna mustakil ibadat hai jo kisi bhi waqt ki ja sakti hai albatta jin mauko par iska ehtamaam karna sunnat se sabit hai unko tarjih di jayegi.

*2. Jo ibadat har waqt ja'iz ho agar aap apne sahoolat ke liye use kisi khaas waqt mai rozana karna chahte hai to usooli toor par ye bhi ja'iz hai irshad nabawi hai: "Allah Ta'ala ko wo amal zayada Mehboob hai jis par hameshgi ki jaye agarche thoda ho".
(Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees No. 782)
*Lekin kisi ke liye ye ja'iz nahi ke tamaam aukaat ko chood kar sirf ek waqt ko amala farz ka darja de kar dusre Musalmano ko uska paband banaye kyun ki jab Shariyat ne us waqt ko Musalmano par muqarrar nahi kiya to ye kyu kare? masalan agar mukhtalif afraad rozana mukhtalif aukaat mai Quran paak ki mukhtalif surate padhte hai to ye ja'iz amal hoga. Lekin agar koi maulavi sahab ye dawat shuru kare "ke tamaam Ahel Islaam rozana namaz fajar ke baad* *20 martaba Surah Kamar padha kare iska ye sawaab hai" phir uske halka asar mai aney wale Musalmaan waqtan uski pabandi shuru kare to unka ye amal mohtaaj daleel ban jayega, agar Sharai daleel mai uski sarahat a jaye to Sunnat hoga warna Bidat hoga.

*3. Jo ibadat har waqt ja'iz ho agar aap use kisi khaas mooke par karna chahte hai to ehtiyatan ye maloom kar le ke kahi us mooke ke liye shariyat ne koi farz aaed kiya hai to phir farz tark karke ja'iz kaam mai lage rehna kat'an ja'iz nahi masalan Namaz ba jamaat khadi ho aur jis ne yahi namaz jamaat ke sath pehle nahi padhi uske liye ja'iz nahi hai ke wo jamaat mai shamil hone ki bajaye sunnate ya nawafil padhta rahe. koi witr, wazifa, dua ya tilawat karta hai kyunki un ja'iz nekiyo ko muakkhir karne ki gunjaish mojood hai lekin mooke ke farz ko bila wajah muakkhar karne ki kata'an koi gunjaish nahi hai.

*4. Agar us khaas mooke ke liye shariyat ne koi sunnat muqarrar kar rakhi hai to bhi ja'iz kaam ko chood kar sunnat ko tarjih di jayegi agarche sunnat farz nahi,* *use kiya jayega to bahut zayada sawab hai aur agar kisi wajah se bhi choot jaye to koi gunah nahi lekin aeisa hamesha hona chahiye* *kyunki sunnat chodne ke liye nahi balke apnane ke liye hoti hai ise apnana hi hai.

*Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka taqaza hai: "jisne meri sunnat ko napasand kiya wo mujhme se nahi". (Bukhari Kitabun Nikah)*

*uski misal farz namaz ke baad (LA ILAHA ILLALLAH) ki ijtimai wird hai usme koi shaq nahi ke (LA ILAHA ILLALLAH) sabse afzal zikr hai lekin use kisi bhi waqt karna ja'iz hai aur chunke farz namaz ke baad wala waqt bhi aukaat mai se ek waqt hai lihaza agar koi shaks kisi farz namaz ke baad apne taur par (LA ILAHA ILLALLAH) keh deta hai to bilkul ja'iz hai lekin jab hum ye dekhte hai ke farz namaz ke foran baad Nabi SAWS ka mamool aur sunnat kuch aur hai to har farz namaz ke baad hamesha (LA ILAHA ILLALLAH) ka wird karne ka matlab ya hai ke us mooke ki sunnat ko khatam kar diya jaye kyunki (LA ILAHA ILLALLAH) ka wird muakkhir ho sakta hai lekin namaz ke baad wale masnoon azkaar aur duao ko hamesha muakkhir karna kisi tarha bhi ja'iz nahi hai wese bhi cource ki shakal mai bulanad awaaz (LA ILAHA ILLALLAH) ke ijtimai wird ki puri nabuwat mai koi misaal nahi milti.

*5. Yaad rakhey! hath utha kar ijtimai dua karna ye na to farz namaz ka hissa hai aur na hi baad wale masnoon azkaar ka hissa hai is liye is ka daimi ehtamaam karna durust nahi hai kyunki farz namaz ek alag ibadat hai aur hath utha kar ijtimai dua karna ek alag ibadat hai aur jab kisi sharai daleel ke bagair do alag alag ibadato ko ek makhsoos tarteeb ke sath hamesha ek sath ada kiya jaye ke dono ek dusre ka hissa maloom ho hatta ke ek ke bagair dusri ko na mukammal samjha jane lage neez ek sharai masle ki tarha loogo ko uski dawat, targeeb aur taleem de jaye jo shaks un ibadaat ko us tarike k mutabik ada na kare use munkir aur gustakh k alkaab se nawaza jaye to aap raah e sunnat se bhatak jayenge kyunki jab mukhtalif ibadaat ko apni marzi se yakja karke ek naya tarika ra'ij kiya jayega to wo sunnat nahi rehta wo bidat ban jata hai.*

*6. Baat usool ki hai jo kaam Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zindagi mai zaroori bhi ho aur use karne ke liye koi rukawat bhi mojood na ho phir bhi pure ahad nabuwat mai use koi na kare magar hun na sirf khud use hamesha kare balke dusro ko bhi dawat de to wo bilashuba bidat hai.*
*Sawal ye paida hota hai ke kya Ahad Nabuwat mai farz namazo ke baad hath utha kar ijtimai dua ka ehtamaam karne mai koi rukawat thi? yakeenan nahi thi phir bhi ager kisi farz namaz ke baad uska kabhi ehtamaam nahi kiya gaya to us se maloom hua ke uska ehtamaam na karna sunnat hai kyunki namukammal hai ke ek cheez deen bhi ho aur Ahad nabuwat mai kar sakne ke bawjood use koi na kare ya use kiya gaya ho magar makbool Ahadees ke wasee zakhire mai wo kisi ko kahi nazar na aye.

*7. Insaan fitartan sahulat pasand hai use masnoon duaye yaad karna "Garah" guzarta hai aur chunke uski "Masroofiyat" bhi bahut zayada hai lihaza wo farz namazo ke baad 5, 6 minut nahi nikal sakta lihaza us sunnat se pehlu bachane ke liye uska mutbadil ejaad kar liya gaya yani "Molvi sahab salam pherte hi hath uthaye chand masnoon wa gair masnoon alfaaz par mushtamil chote chote jumle bole aur muh par hath pher kar tamaam namaziyo ko "farig" kar de jis ke baad wo sab (masnoon azkaar padhe bagair) uth khade ho".
*Dar haqiqat ye dua nahi, rasam hai jo intihai naik neeti se har farz namaz ke baad ada ki jati hai aur is tarah gair shaori taur par ek sunnat ko mitane ka gunah kiya ja raha hai, afsoos ke logo ko bidato par amal karne ke liye to bada waqt mil jata hai magar sunnat ko apnane ke liye waqt nahi milta, jo shaks biddat ki tardeed kare use sire se dua ka hi munkir bana diya jata hai.

*8. Farz Namazo ke baad masnoon azkaar aur duao ko chood kar unke mutbadil ke taur par (LA ILAHA ILLALLAH) ke ijtimai wird aur hath utha kar ijtimai dua mangne ko isliye bhi riwaz diya gaya hai ke ye hamare maslak ki alamat aur pehchan ban jaye. kya kisi maslak ke tahfiz ke liye sharai masail wa ehkaam ke sath us tarha khelna ja'iz hai! Islam ka huqm kya hai! firqa wariyat ko mitaya jaye ya use faroog diya jaye?

*Khulasa ye hai ke farz namaz ke baad hath utha kar ijtimai dua karna fee nafsa ja'iz hai lekin uska takraav ek sunnat se ho raha hai lihaza use apnana mamool nahi banana chahiye kyun ki sunnat e Rasool makbool Sallallahu Alaihi Wa Sallam hi us baat ka zayada haq rakhti hai ke wo har kalma go musalmaan ko mamool, maslak aur pehchaan de.

*Lihaza hame inhi azkaar aur duao par iktafa karna chahiye jin par hamare Pyare nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur unke Sahaba Kiram Razi Allahu Anhum Ajmaeen hamesha iktafa karte hai. Allah Ta'ala hum sab ko taufeeq de. Aameen Ya Rabbal Alameen.*

*Abdullah Bin Umar Razi Allahu Anhu aur Abdullah Bin Zubair Razi Allahu Anhu dua karte they aur akhir mai apni dono hatheliya apne muh par pherte. (Al Adabul Mufrad, iski sanad Bukhari ki shart par sahi hai).*

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS