find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Eid Miladunnabi mnane ka Kahi Hadees me Hukm Hai?

Kya "Miladun-Nabi" ka Bab (chapter) Hadees me hai? Or uska kya matlb hai?

-------------------------------------------

 Milad 1 "Arabic alfaz" hai jiski  mani paidaish (birth) hoti hai.
Or hadeeso me ye Bap aaya hai lekin us hadees me rasoolallah sallalahu-alaihiwasalam ke paidaish se mutalliq hadeese hain Na ki Miladun-Nabi manane se mutalliq.

Eid-Miladun-Nabi ke manane se mutalliq koi bhi hadees nhi milti.

 Jab Rasoolallah sallalahu-alaihiwasalam ki paidaish ka jashn Sahaba (raz)  ya salaf-e saleheen ne nahi manaya to hum kyu manaye?.
 *Kya hum Rasoolallah sallalahu-alaihiwasalam se Zayada MOHABBAT karte hain to kya Sahaba se bhi zayada karte hain.*
Sahaba hum se Zayada krte the mohabbat to unhone nhi manaya to hum kyu manaye.

➡ Deen me koi bhi nayi cheez Shamil krna bidat hai
[Sahih al bukhari:2697]

Allah ne farmaya: 
 *Mai ne tumhare liye Deen ko mukammal (complete) kr diya hai.
(Matlab deen ke tariqe me koi bhi cheez joda ya hataya nhi ja sakta hai.)
 [Quran Surah mayda ayt: 3]


( हर बात दलील के साथ)

Share:

12 comments:

  1. ager eid miladunnabi sallallahu alaihi wasallam manana sabit nahi hai to apke molvi moulana khalil saharanpuri ne apni kitaab al muhannad alal mufannad me isko sahi kyo kaha hai....jawab jarur de..

    ReplyDelete
    Replies
    1. Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuh
      AAp Ne Bahot Achha Sawal Kiya Hai.

      Sabse Pahle to Aapko Iss Baat Ka Khayal Rakhna Chahiye Ki Hamare Liye Aur Tamam Ummat KE Liye Namoona(model) Mohammad Saw Hain, isliye koi bhi Amal Karne Se Pahle Unki Mohar Dekhen, iske Baad Sahaba Karam R. A, Iske Baad Ta,abeen Ka Fir Tabe Ta, abeen Ka.
      To in Nek logon se Ye Amal Sabit Nahi Hai.
      Aur Rahi Baat Maulana Khali Ya Kisi Bhi Molvi Ki Chaahe wo Ahle Hadees Aqeede Ka Ho Ya Hanafi Ya Dunya Ka Koi bhi maulvi agar uski baat Quran Aur Hadees Se Nahi Mailti Hai to is se hammen koi lena dena nahi. Allah Kal Qyamat KE Din OOS Bande Se Hisab Lega.

      Mai Aapko bhi Dawat Deta Hun Ke Har Amal Nabi Ke Tariqe Se Karen kisi Ahle Hadees Ke molvi ya kisi ke kahne ke tariqe par Nahi.
      Allah Hum Sabko Quran Aur Nabi Ke Sunnat Par CHalne Aur AMal Karne Ki Taufiq Ata FArmaye Ameen.
      Jazak Allah Shukran

      Delete
    2. To Kya ager swaliheen ne manaya ho tab iss bare me aap kya kahenge...Aur Ager koi Eid Miladunnabi manaye to uske liye kya sharai hukm lagega...

      Delete
    3. Saleheen Se Ye Sabit Hai Hi Nahi to Manane Ki Baat Kahan Se AA Gayi.

      Delete
  2. AGER KOI EID MILADUNNABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM MANATA HAI TO USKE LIYE KYA SHARAI HUQM LAGEGA...WAJAHAT KARE....

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sabse Pahle Aap Ye Jaante Hain Ke Deen E Islam Mukammal Hai Aur Mohammad Saw Ne Hamein Har Neki Aur Amal Ke Barey Me Bata Diya Hai Unho Ne Koi Bhi AMal Ummat Se Nahi Chhupayi Sath Hi Allah Ne Quran Me Iski Muhar Bhi Laga Di hai.

      Aur Ye Bhi Lagbagh Har Koi Jaanta Hai Ke Nabi Hamare Liye role model Hain Unke Baad Sahab R.A fir Taabeen AUr Tab E Tabeen. In Nek Logon Se Ye Amal Sabit Nahi Hai To Fir Ye AAp Hi Decide Kijiye Ke Ye Deen Kaise Ho Sakta HAi Aur Isse Sawab Samjh Kar Kasie Kiya Jaa Sakta Hai.

      Iska To Yahi Matlab Hua Ke Mohammad Saw Ne Wo Amal Nahi Batayi Ya Chhipa Liya Aur Baad Me Aapko Pata Chala Aur Majeed Aap Ise Sawab Samajh Kar Kar Rahe Hain(Naujubillah) Iss Hisab Se Aap Deen E Islam Ko Mokammal Bhi Nahi Maante.

      Iske AAge Deen Me Har Nayi CHij Ijad Karna Biddat Hai Yani Ke Kisi Aaml Ko Deen Ya Sawab Ke Liye Karna Jo Khairul Kuroon Se Sabit Na Ho.

      To Aisa Amal Karne Wala Biddati Hoga Aur Kal Qyamat Ke Din Mohammad Saw OOse Hauz E Kausar Se Dhudhkar Kar Bhaga Denge Ke Isne Mere Baad Deen Me Nayi Chij Ijad Ki.

      Delete
  3. Fir ye ijtima kaha se sabit hai?? jo jamati krte firte deen me ye kam kayko badhaya 🤣

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ijtema Ya 40 Din Ka Chilla Kahin Se Sabit Nahi Hai,
      Agar Koi Ise Deen Samajh Kar Karta Hai Hai to Ye Biddat Hai Aur Har Biddat Gumrahi Ki Taraf Le Jaane Wali Hai Aur Gumrahi Jahannum Ki Taraf

      Delete
  4. milaad manana kaheen se jaaiz nahi hai toh yeh batao ki deoband ke bade bade moulvi shirk bidd'at ka fatwa lagane wale apne madrase ke 100 saal hone par khushi kyunn manayi ??

    ReplyDelete
    Replies
    1. Madarsa kee Salgirah yani Anniversary manana Deen se juda hua nahi hai aur na deen Kee ahkaam samajh kar manaya jata hai, Nahi Sawab ki niyat se yah sab kiya jata hai. Jabki 12 Rabiawwal Sawab ki niyat se manate hai. Koi bhi kam jo Deen samajh kar aur Sawab ki niyat se kiya gaya ho aur wah Quran o Sunnata me maujood nahi hai to Biddat hai.

      Delete
    2. Biddat ki Tarif padhe aur samjhe. Biddat ke mana o mafhoom.

      Delete
  5. Yah 12 rabbiawwal Biidat hai jo Musalman abhi nahi padhe hai wah Sirf imamo ki bat me chalte hai unhe khud padhna chahiye.

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS