find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ache Hamsafer (Life partner) Se Shadi ke liye kya kare?

BismillahirRahmanNirRaheem
___________________
Aeisa INSAAN BANNE KI KOSHISH KAREN Jisa INSAAN SE AAP SHADI KARNA CHAHTE HAIN

Agar aap Aeisa Hamsafer (life partner) chahte hain Jo pancho Namazein padhta ho to aap pehle khud namaz padhna shuru karen. Agar aap Aeisa Sharik-E-Hayat chahte hain jo nafil rozey rakhta ho to aap pehle khud wo rozey rakhna shuru karen. Agar aap Hamsafer  chahte hain jo Allah se darey to pehle aap khud apne andar taqwa paida karen. Asaan Alfaaz me: Har wo kaam karen jo aap apne Sharik-E-Hayat ko karte dekhna chahte hain. Acche bane to accha aapke paas aayega In Sha Allah!

Namaz padhen, Roza rakhein, Allah se darey, Apni nazron ko neechen rakhein, Gair Mehram se baat naa karen, Sabr karna seekhein, Sadqa karen, Khud me haya paida karen, Dusro ki madad karen, Haraam se door rahein, Kisi ki geebat naa karen, Taqabbur se door rahein, Ilm (Education) haasil karen, Bina zarurat bolne se bachen, Aajzi (humbleness) ikhtiyaar karen, Munasib aadab seekhein, Logo ke saath accha sulook karen, Ilm ke saath bolen, Insaaf karne wale banen, Apni zimmedariyo ko aur farz cheezon ko jaane aur sab se ahem baat ye ke sab kuch sirf Allah ki khatir karen.

Esa insaan bane phir In Sha Allah aap ko esa hi insaan mil jaayega. Aap Aeisa Sharik-E-Hayat chahte hain jo Islam par amal karta ho aur accha insaan ho to ye yaad rakhein ke Aeisa shakhs khud bhi ek acche aur Islam par amal karne wale insaan se shadi karna pasand karega. Isliye, pehle khud me behtari layen aur apna behtareen version ban jayen taaki aapka Sharik-E-Hayat har roz aap ke liye Allah Ta'ala ka shukar ada kare!

"Aur Acchi Auratein acche mardon ke liye hain, aur acche mard acchi aurton ke liye hain."
Qur'an (24:26)
___________________

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS