Marne ke bad insan ko tin kamo ka Sawab milta rahata hai?
Kaun kaun se amal Sadqa-E-Zariya hai?
Agar kisi ne School, Hospital banwa diye jisse logo ka ilaj ho raha to us Shakhs ke marne ke bad bhi use iska Sawab milega.
ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ حُجْرٍ، أَخْبَرَنَا إِسْمَاعِيل بْنُ جَعْفَرٍ، عَنْ الْعَلَاءِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: إِذَا مَاتَ الْإِنْسَانُ انْقَطَعَ عَمَلُهُ إِلَّا مِنْ ثَلَاثٍ،
🔹صَدَقَةٌ جَارِيَةٌ،
🔹وَعِلْمٌ يُنْتَفَعُ بِهِ،
🔹وَوَلَدٌ صَالِحٌ يَدْعُو لَهُ.
नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: जब इन्सान मर जाता है तो उसके अमल का सिलसिला बंद हो जाता है सिवाए तीन चीज़ों के:
🔹एक सदक़ा जारीया है,
🔹दूसरा ऐसा इल्म (Education) है जिस से लोग फ़ायदा उठाएं और
🔹तीसरा नेक और सालिह औलाद है जो उसके लिए दुआ करे।
Nabi kareem ﷺ ne farmaya: jab insaan mar jata hai to uske amal ka silsila band ho jata hai siwaye teen cheezon ke:
🔹ek sadqa Jaria hai,
🔹dusra aisa ilm hai jis se log faida uthayen aur
🔹teesra nek aur Saleh aulaad hai jo uske liye dua kare“.
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، جب انسان مر جاتا ہے تو اس کے عمل کا سلسلہ بند ہو جاتا ہے سوائے تین چیزوں کے:
🔹ایک صدقہ جاریہ ہے،
🔹دوسرا ایسا علم ہے جس سے لوگ فائدہ اٹھائیں اور
🔹تیسرا نیک و صالح اولاد ہے جو اس کے لیے دعا کرے“
The Prophet ﷺ said: When a person dies, his deeds are cut off except for three:
🔹Continuing charity,
🔹knowledge that others benefited from, and
🔹a righteous son who supplicates for him.
📜 *wazahat:*
(1)sadqa e jariya yani aisa sadqa jis ko awaam ki bhalayi ke liye waqf kar diya jaye, maslan kuwa khudwana, nal lagwana, masjid wa madarse wa yateem khano ki tameer karwana, hospital ki tameer, pull aur sadak wagairah banwana, inn mein se jo kaam bhi apni zindagi mein kar ke jaye ya karne ka iradah rakhta ho wo sab sadqa e jariya mein shumaar honge,
(2) ilm mein logo ko taleem dena tableegh ka silsila qayem karna, madarse ki tameer karna, Quran seekhana, deeni kitabe batwana waghera umoor sabhi shamil honge.
(3) nek aulaad mein beta, beti, pota, poti, nawasa, nawasi waghera ke elawa ruhani awlaad bhi shamil hain jinhen ilm deen sikhaya ho.
📚 _*Jamiat Tirmidhi: jild 3, kitab ul Ahqam 15, hadith no. 1376*_
*Grade sahih
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
No comments:
Post a Comment