Islam Suicide ke bare me kya kahta hai?
Kya Car bomb blast karne ki ijazat islam deta hai?
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi) ne farmaya
Pichley zamane mein ek shaks zakhmi ho gaya tha aur us se usko badi takleef ho rahi thi aakhir usne chhuri (knife) se apna haath kaat dala jisse khoon bahne laga, is wajah se wo mar gaya.
Allah ne farmaya,”Mere Bande ne marne mein jaldi ki is liye maine bhi Jannat ko is par HARAM kar diya.
📚 Sahih Bukhari Vol 4, Book 56, No. 669
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya
Jis ne apne aap ko pahad (mountain) se gira kar (khudkushi ki) halak kiya wo dozakh mein jaayega aur hamesha apne aap ko isi tarah pahad se girata rahega.
Dozakh mein hamesha hamesha us ki yahi halat rahegi.
Jisne zahar kha kar apne aap ko halak kiya (khudkushi ki) dozakh mein wahi zahar us ke haath mein hoga jise khata rahega aur dozakh mein wo hamesha hamesha isi halat me rahega.
Jisne apne aap ko kisi hathiyar se halak kiya (khudkushi ki) wahi hathiyar Dozakh mein uske hath me hoga jise wo apne pet me marta rahega, dozakh mein wo hamesha hamesha isi halat me rahega.
📚 Sahi bukhair 5442,_*
______________
taken from Dawat -e- Tauheed Islamic Group'
______________
No comments:
Post a Comment