Yah Tin suratein hi aapke liye kafi hai.
BismillahirRahmanNirRaheem*
________________________
*Ye teen surah tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi*
___________
*HADITH*
*Abdullah bin khubayb Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Subah aur sham 3 baar Surah Al-Ikhlas , Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas padh liya karo , ye tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi (yani har tarah ki pareshaniyo se bachne ke liye ye kaafi hain)
*Sunan Abu dawud, Jild 3, 1643-Hasan*
____________
*Uqba bin amir radi allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya har namaz ke baad aakhri teen surah yani Surah Al-Ikhlas, Surah Al-Falaq aur Surah An-Nas padha karo*
*Al Silsila As sahiha, 2776*
_________________________
No comments:
Post a Comment