find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Friendship day or Judgement day in Islam.

Kash ke mai Use apna dost banaya hi nahi hota.

*"FRIENDSHIP DAY OR JUDGEMENT DAY"*
--------------------------------------------------
*Dosti par Kuch Qurani Ayaat-*

🔸 "Haye Afsos kaash maine falan ko dost na banaya hota" (Furqan-28)

🔸 "Us din koi dost kisi dost ke kuch bhi kaam nahi ayega aur na unki madad ki jayegi" (Dukhaan-41)

🔸 "Aur koi dost kisi dost ko na puchega" (Ma'arij-10)

🔸 "Us din Dost bhi dushman ban jaenge siwaye parhezgaron ke" (Zukhruf-67)

👉 *GHORO FIKR*- Aaj hum jo *"Friendship Day"* celebrate kar rahe hain hame is baat par ghaur karna chaiye ki kahi hamari friendship hame jahannam me to nahi lekar ja rahi hai? Kahi hamare friends hame Allah ke deen se door to nahi kar rahe? Kahi hamare friends hame Islam ke raste se hata kar shaitan ke raston par to nahi le kar ja rahe? aur Agar aisa hai to kal *"Judgement Day"* me yahi friends jinhe aaj hum apna close friends samajh rahe hain, hamare dushman ban jaenge, koi madad karne wala nahi hoga. Han Agar hamare friends Hame Allah se aur Allah ke deen se qareeb kar rahe hain to yeh friends kal *"Judgement Day"* me bhi hamare friends honge aur hamare sath honge inshaAllah.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS