find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Buland Aawaj me Quran padhne wala Shakhs Kaisa hai?

Unche Aawaj me Quran ki tilawat karne wala Shakhs kaisa hai?
*BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM*

*-----✨MISSION TAUHEED✨-----*

  Buland aawaz se Quran padhne wala aisa hai jaise ki elaniya taur se sadqa dene wala*

*-----✨MISSION TAUHEED✨-----*

Uqbah ibn Amir Al-Juhani radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Buland aawaz se Quran padhne wala aisa hai jaise ki elaniya taur se sadqa dene wala aur ahista aawaz se Quran padhne wala aisa hai jaise ki chupke se sadqa dene wala.

Sunan Abu Dawud, Jild no 1,1320-Sahih

Abu Musa radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya us momeen ki misal jo Quran padhta hai aur us par amal bhi karta hai meethe leemu (citron) ki tarah hai jiska maza bhi bahut achcha aur khushbu bhi achchi hoti,*

*Aur wo momeen jo Quran nahi padhta lekin us par amal karta hai uski misal khajur(date) ki tarah hai jiska maza to bahut achcha hota hai lekin khushbu nahi hoti,*

*Aur us munafiq ki misal jo Quran padhta hai Raihana (sweet basil) ke jaisee hai jiski khushboo to achchi hoti hai lekin maza kadwa hota hai*

*Aur us munafiq ki misal jo Quran bhi nahi padhta andrayeen (colocynth) ke phal ki tarah hai jiska maza bhi kadwa aur boo bhi kharab hoti hai.

Sahih Bukhari - 5059(Islam 360)
_________________________

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS