Ramzan Shuru hote hi Naye Naye Hadees Logo me Kis Tarah failne Lagte hai?
Jhooti rawayat suna kar logo ke bich Kis tarah Islam ke bare me galat Batein ki jati hai?
Bismillah hir rahmanir Raheem
*Ye sab "Afwah" pe Dhayan na de* ❌
---------------------------------------------
1) Aaj kal ye kaha ja raha hai ki *flañ tarikh (Date) ko sab log roza rakhiye to musibat Door ho jayegi.*
2) *Itni Rika'at Namaz padhiye to musibat Door ho jayegi*
3) Is *Dua ko itni baar padhiye to ye musibat tal jayegi.
4) Ye kahna ke *Chand (Moon) Ulta ho gya hai.*
5) *Badal (Cloud) me Muhammad ﷺ likha hua hai.*
Wagiara wagiara.....
❌ *In sab batoñ par bina Tahqeeq yaqeen na kare Aaj kal log Ghar baithe kuch bhi Ejadat kar rahe hain.
Quran:-
Allah ne farmaya " Ai iman walo! Agar koi fasiq tumhare pas khabar le kar aye to uski tehqeeq kar liya Karo.
📚(Surah Hujurat V# 6)
Aap ﷺ ne farmaya " kisi shakhs ko JHOOTHA hone ke liye yahi kafi hai ke wo har suni Hui bat ko aagay bayan kar de."
📚( Muslim h# 7- 9)
👆 *Tareeqa wahi Qubool hoga jo Rasoolullah ﷺ ne kiya ya kaha
khud se kuch bhi Ejaad karna Bidaat hai
----------------------------
Nabi {ﷺ} Ne Farmaya:-👇
--------------------
❌ *"Jisne Hamare is Deen Me Kuch Aeisi Baat Shaamil Ki Jo Usme Nahi Thi To Wo Rad (Qabile Qubool nahi.) Hai".
*🔰(Sahih Bukhari :2697)*
*🔰(Sahih Muslim :4492)*
----------------------------------------
SHARE
No comments:
Post a Comment