Chast Ki Namaz Kya Hai Aur Kaise Padhen in Roman Urdu
Chast Ki Namaz Kya Hai Aur Kaise Padhen in Roman UrduNamaz e Chasht (Zuhaa) o Awabeen o Ishraaq
Zuhaa ke maani hain din ka chadhna aur ishraaq ke maani hai tuloo Aaftab. Pas jab Aaftab tuloo hokar 1 nezey ke baraabar buland ho jaae toh is waqt nawaafil ka padhna namaz ishraaq kahlaata hai.
Zaid bin Arqam r.a. se marwee hadees mein is namaz ko salaatul Awabeen bhi kaha gaya hai. (yaani Allah Ta’ala ki taraf rujoo karne walo’n ki namaz).
Zaid bin Arqam r.a. ne kuch logo’n ko Zuhaa ki namaz padhte dekha to kaha beshak ye log jante hain ke is waqt ke alaawa namaz padhna afzal hai, Nabi Akram ﷺ ne farmaya ke ‘Awwabeen ki namaz ka waqt wo hai jis waqt ount ke bacche ke paou’n garam ho’n.’
Sahih Muslim: Salatul Musafireen, hadith- 748.
Maghrib aur Isha ke darmiyan padhi jaane waali namaz ko jis riwayat mein Salatul Awwabeen kaha gaya hai wo riwayat mursal yaani zaeef hai.
Abu Zar r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Har admi par laazim hai ke apne (jism ke) har band (jod) ke badle sadqa khairaat kare. Pas Subhan Allah kahna sadqa hai, Alhamdulillah kahna sadqa hai, Laailaaha
Illallah kahna sadqa hai, Allahu Akbar kehna sadqa hai, neki ka hukm dena sadqa hai aur buri baat se rok dena bhi
sadqa hai aur in sab cheezo’n se Zuhaa ki 2 rakatei’n kifaayat karti hain.’
Sahih Muslim: Salatul Musafireen, hadith- 720.
Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Allah Ta’ala farmata hai! Aey Adam ke bete khaalis mere liey 4 rakatei’n awwal din mein padh (yaani ishraaq ki) main tujh ko is din ki shaam tak kifaayat karu’nga.’
Sunan Abu Dawood: al Tatwee, hadith 1289; Sunan Tirmizee: al Salah, hadith- 474. Imam Zahabi ne ise Hasan aur Qawee ul Asnaad jab ke Imam Ibne Hibban ne ise Saheeh kaha. Kifaayat ka 1 mafhoom ye bhi hai ke tere kaam sawaaru’nga.
Mua’aza ne A’aisha Siddiqa r.a. se dariyaft kiya Rasool Allah ﷺ namaz Zuhaa ki kitni rakatie’n padhte the? A’aisha r.a. ne kaha: 4 rakatei’n aur jis qadr Allah Ta’ala chaahta Aap (is se) ziyaada (bhi) padhte.’
Sahih Muslim, hadith-719.
Umme Haani r.a. farmati hain: Rasool Allah ﷺ ne fatah Makka ke din ghusl kiya aur 8 rakat namaz Zuhaa padhie’n.
Sahih al Bukhari: al Tahajjud, hadith- 1176 ; Sahih Muslim: al Haiz, hadith- 336.
Maloom hua ke chaasht (Zuhaa) ki rakatie’n 2,4,8 hain.
Abu Huraira r.a. ne farmaya: ‘Mujhe mere pyaare dost Nabi e Rahmat ﷺ ne 3 cheezo’n ki wasiyyat ki, Jab tak main zinda rahu’nga inko nahi chhodu’nga:
1۩ Har (arabi) mahina (mein 13, 14 aur 15) ke 3 roze
2۩ Chaasht ki 2 rakatie’n, aur
3۩ Sone se pehle witr padhna.’
Sahih al Bukahri: al Tahajjud, hadith- 1178 ; Sahih Muslim, hadith- 721.
Ummul Momineen A’aisha r.a. se riwayat karti hain ke Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ek kaam chhod dete halaa’nke Aap ko iska karma pasand hota tha, Aap ﷺ is baat se darte the ke aisa na hoke log is kaam ko karne lag jaaei’n phir wo in par farz ho jaae.’
Sahih al Bukahri: Abwaab al Tahajjud, hadith-128 ; Sahih Muslim, hadih 718.
Rasool Allah ﷺ ki wafaat ke baad namaz chaasht ke farz hone ka khauf khatam hogaya, jis khauf ki binaa par Rasool Allah ﷺ kabhi chaasht ki naamz adaa karte aur kabhi na karte, ab ye namaz hamaare liye mustahab hai.
Isi ke mutallik ek zaif hadith hai jiski wazahat zaruri hai,
Anas bin Maalik r.a. se riwayat hai Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jis ne Fajar ki namaz jamat se padhi se padhi phir suraj nikalnetak baitha aur Allah ka zikar karta raha (suraj nikalne ke baad) 2 rakat namaz padhi is ke liye Haj aur Umra ke baraabar sawaab hai.
Aap ne farmaya: ‘Poore Haj aur Umra, Poore Haj aur Umra, Poore Haj aur Umra.’
Sunan Tirmizi: al Juma, Hadith- 586. Hukm: Zaeef
Is hadith ko Sheikh Zubair Ali Zai ne Zaif kaha hai. Lekin Fajr ki namaz adaa karke suraj ke tuloo hone tak masjid mein baithna sunnat hai aur baa’es e ajar hai:
Jaabir bin Samrah r.a. se riwayat hai ke: ‘Rasool Allah ﷺ jab Fajr ki namaz adaa karte to suraj ke tuloo hone tak masjid mein baith‐te, jab suraj tuloo hota to Aap jaane ke liye khade hote.’
Sahih Muslim, hadith- 670.
Note: Namaz e Chast, Zuha, Ishraq aur Awabeen ek hi namaz ke alag naam hai.
No comments:
Post a Comment