Islam Kis Tarah Pyar Aur Bhai Chare ka Paigham Deta hai?
Musalman kaun Hai aur Momin Kaun hai?
Bismilla Hir Rahmanir rahim
--------------------------------
أَخْبَرَنَا قُتَيْبَةُ، قَالَ: حَدَّثَنَا اللَّيْثُ، عَنْ ابْنِ عَجْلَانَ، عَنْ الْقَعْقَاعِ بْنِ حَكِيمٍ، عَنْ أَبِي صَالِحٍ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: الْمُسْلِمُ مَنْ سَلِمَ النَّاسُ مِنْ لِسَانِهِ وَيَدِهِ، وَالْمُؤْمِنُ مَنْ أَمِنَهُ النَّاسُ عَلَى دِمَائِهِمْ وَأَمْوَالِهِمْ .
Rasool Allah ﷺ ne farmaya: Musalman woh hai, jiski zubaan aur haath se log mehfooz (Safe) hon, aur Momin woh hai jis se log apni jaan aur maal ke baray mein itmenaan rakhen.
Sunan Nasa'i: jild-6, Kitab ul iman 47, hadith no. 4998*_
Wazahat: kaamil Muslim wo hai jiske shar (Burai) wa fasaad se dusre Muslim mehfooz rahe, jis baab mein ye hadees bayan ki gayi hai wo baab hai "Momin ki sifa'at" aur hadees mein "Muslim" ka lafz hai, matlab ye hai ke islam agar haqiqi hoga toh wo imaan hi ka mazhar hoga. Iss hadees mein yahi falsafah pesh kiya gaya hai ke musalman wo hai jiske haath aur jis ki zabaan se kisi ko takleef nahi pohoche aur woh aman o Amaan se rahe jab hum sab ek dusre ke saath rehmat aur shafqat ka maamla rakhe to yeh duniya jannat ka gehwaara ban jayegi, yaha Mohabbat aur Bhai chare ke phool khilenge aur iske gulistano mein Mohabbat bhar ke naghme gaati sunai dengi. Insh'a ALLAH
------------------- ------------------
No comments:
Post a Comment