find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Fitra me hame kya Dena Chahiye aur Kab tak de dena chahiye?

Ramzan Me Fitra Kitna aur kaise nikale?
بسم الله الرحمن الرحيم*

*-----🌀MISSION TAUHEED🌀-----*

"Zakat-Ul-Fitr Ke Ahkaam Masail Aur Fawaid"

*1.Zakat-Ul-Fitr K Ahkaam:-*

Abdullah Ibn Umar (رضي الله عنه) Se Riwayat Hai K Unhone  Kaha Rasool {ﷺ} Ne Gulam Ya Azaad  Chote Ya Bade Har Kisi Per Ek Sa'a (2.5-2.75kg) Khajoor Ya Ek Sa'a Jow Sadqa Fitr (Fitrana) Farz Qaraar Diya.

*(Sahih Muslim Jild No.3 Kitab Uz Zakat Hadees No.2279)*

*2. Zakat-Ul-Fitr Ke Masail:-

*1.Zakat-Ul-Fitr Me Kya De??

*Koi Bhi Cheez Jo Insan Khane Ke Liye Istemal Karta Hai, Jaisa Ke Barley, Khajoor, Gyahu Wagera Zakat-Ul-Fitr De Sakte Hai.

(Ibn Khuzaimah Hadees 4/80)*

*2.Zakat-Ul-Fitr Kitna Dena Hai??*

Rasool Allah {ﷺ} Ne Iski Miqdaar Ek Shaks K Liye 1 Saa Yani (2.5-2.75kg) Batayi Hai.

*(Sahih Muslim Jild No.3 Kitab Uz Zakat Hadees No.2278)

*3. Zakat-Ul-Fitr Paise Dena Mana Hai:-*

Zakat-Ul-Fitr Khane Ki Cheez (Gyahu, Anaaj, Khajoor) Hi Dena Chahiye, Paisa Dena Sunnat Se Sabit Nahi, Aap {ﷺ} Ne Sirf Khane Ki Cheez Hi Di thi.*

*(Majmua Fatawa Bin Baz : 4/208)*

*4. Zakat-Ul-Fitr Miskeenou Ka Haq Hai:-

*Zakat-Ul-Fitr Sirf Gharibo, Mohtajou, Miskeenou, Bewao (widow) Ko Dena Chahiye, Taaki Wo Bhi Eid Ki Khushiya Mana Sake, Khaa Pee Sake, Zakat-Ul-Fitr Ko Mohtajou Ke Alawa Kisi Aur Ko Dena Jayez Nahi Hai.*

Rasool Allah {ﷺ} Ne Farmaya Zakat-Ul-Fitr Rozedaar Ko Fahash Aur Behuda Baatou Se Paak Karne Aur Miskeenou Ki Khuraak Ke Liye Farz Qaraar Diya Lehaza Jisne Issey Namaz-e-Eid Se Pahle Ada Kar diya To Ye Maqbool Zakat Hai Aur Jisne Namaz Ke Baad Ada Kiya To Wo Aam Sadqaat Me Se Ek Sadqa Hai.

*(Sunan Ibn Majah Jild No.3 Hadees No.1872, Sunan Abu Daud Jild No.2 Hadees No.1609)

*5. Zakat-Ul-Fitr Eid Ki Namaz Se Pahle Ada Karna Hai:-*

Zakat-Ul-Fitr Ko Eidgah Jane Se Pehle (Yani Eid-Ul-Fitr Ki Namaz Ada Karne Se Pehle) De Dena Chahiye, Isko Ada Karne Me Taqeer Nahi Karna Chahiye, Jaise Ke Eid Ki Namaz Ke Baad Dena Jayez Nahi Hai.

Rasool Allah {ﷺ} Ne Farmaya Zakat-Ul-Fitr Rozedaar Ko Fahash Aur Behuda Baatou Se Paak Karne Aur Miskeenou Ki Khuraak K Liye Farz  Qaraar Diya Lehaza Jisne Issey Namaz-e-Eid Se Pahle Ada Kardiya To Ye Maqbool Zakat Hai Aur Jisne Namaz K Baad Ada Kiya To Wo Aam  Sadqaat Me Se Ek Sadqa Hai.*

*(Sunan Ibn Majah, Jild No.3 Hadees No.1872, Sunan Abu Daud Jild No.2 Hadees No.1609)

*3.Zakat-Ul-Fitr Ada Karne Ke Fawaid:-

*1.Ye Ek Tarah Ka Kaffara Hai Jo Rozou​ Ki Halat Me Hum Se Hue Gunah Jaise Ke Galatiyan, Kotahiyan, Fuzul Baatein.

*2.Ye Behtareen Zariya Hai Garibou Ki Mohtajgi Door Karne Ke Liye.

3.Eid Ke Barkat Wale Din, Gharib Bheek Maang Ne Se Bach Jayenge.

Note:-* *Zakat-Ul-Fitr Eid Se Pahle Ek Ya Do (2) Din Pahle De Aur Ek (1) Sa'a (2.5-2.75kg) De Aur Gareebou Miskeenou Aur Mohtajou Ko De Aur Ghar Ke Har Ek Fard ki Taraf se De Aur Sirf Anaaj De Anaaj Me Aap Wheat Powder, Rice De Sakte Hai Jo Aajki Zaroorat Hai Khane Me Aur Paise Dene K Muta'lliq Ikhtelaf Hai To Ikhtelaf Se Bachne K Liye Bahtar Hai Anaaj De Wallahu Aalam.

post Maker
(Afzal Khan Salafi)
____________________________

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS