find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Roza Rakhne Se Pahle Kaise Niyat kare?

Roza Rakhne se pahle kaise Niyat kiya Jana Chahiye?
*BismillahirRahmanNirRaheem*
___________________🌙
*ROZA RAKHNE KI NIYAT
__________________🌙
Umm al Momineen Hafsa (رضي الله عنها) kehti hain: "Us shaks ka roza nahi jo Fajar se pehle rozey rakhne ki niyat na kare." [An Nasaai 2338 | sahih]

Lekin, kisi ko bhi niyat alfaaz me nahi bolni chahiye ya awaaz nikaal kar kyunke niyat bol kar karna biddat hai isliye ke ye RasulAllah (ﷺ) aur unke Sahabao me se kisi se bhi sabit nahi.

Niyat sirf dil me karni chahiye. Dil me roza rakhne ka irada Fajr se phle!

Ek duaa jo logo me bohot zada aam hai "وَبِصَوْمِ غَدٍ نَوَيْتُ مِنْ شَهْرِ رَمَضَانَ"
(mai kal roza rakhne ka irada karta hoon ramzan ke mahine me)... ye duaa sahih NAHI hai.

Ye duaa kisi hadees ki kitaab me zaeef hadees me bhi shamil nahi hai. Ye duaa logo ne khud bana kar aam kar di hai is liye ye duaa mat padhiye sirf dil me roza rakhne ka irada karen Fajr se pehle!

___________________
🌻   نیکیوں کا موسم آ  گیا هے*
💠  دن چھوٹے ہیں روزے رکھیں*
🌀  راتیں لمبی ہیں تہجد کی نماز پڑھیں*

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS