Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail.
📕3. Iftaar (Part-1)
_Iftaar karna Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnat hai:_
عَنْ سَهْلِ بْنِ سَعْدٍ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ: لاَ يَزَالُ النَّاسُ بِخَيْرٍ مَا عَجَّلُوا الْفِطْرَ
*Tarjumah:*
_Hazrat Sahl bin Saad Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya:-_
_Meri ummat ke logon mein us waqt tak khair baaqi rahega jab tak woh iftaar mein jaldi karte rahenge._
*📚 -:- {Sahih Bukhari: 1957}*
_Iftaar mein jaldi karna chahiye yani Sooraj doobte hi fauran iftaar karna chahiye. Upar wali hadees is baat ki daleel hai._
*Logon mein mashhoor iftaar ki dua*
*“اللَّهُمَّ لَكَ صُمْتُ وَعَلَى رِزْقِكَ أَفْطَرْتُ”*
*Mursal hone ki wajah se zaeef hai.*
_Sheikh Albani Rahimahullah ne Abu Dawud (2358) ki is Hadees ko Zaeef kaha hai._
*📚{Zaeef ul Jami: 4349 or Zaeef Abu Dawood (Albani): 2358}*
Sahi Hadees se yeh Duaa Sabit hai.
*Iftaar ke Baad ki Duaa*
_Zahabadh-dhama'u Wabtallatil-'urooqu, Wathabatal-arju Inshaa-Allaahu._
*📚-:- {Abu Dawud_2/306}
No comments:
Post a Comment