find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Bina Namaj ke Roza Qubool ho sakta hai?

Bina Namaj ke Roza Rakhne se kya fayeda?

Agar Namaj Nahi padhi jaye to kya Roza Qubool ho jayegi?

Ramzan me Haiz ke Masail, Khawateen se jude Masail. 

As Salam Alaikum Wa Rahmatullahe Wa Barkatahu

بِسْــــــــــــــمِ ﷲِالرَّحْمَنِ الرَّحِيم
Woh Roza Qabil-e-Qabool nahi hai Jisme Namaz nahi hoti hai.

Saykh Ibn Uthaymeen Rahimullah ka Fataawa Al-Siyaam  (Page no.87)

➡Aaiye Ham 2 Hadeeso se Namaz ko Chhodna or Islam ke 5 Buniyad wali hadees ko Samne rakhte huye dekhte hai ki Namaz Chhod kar Roza rakhne walo ki kya Roza Qabil-e-Qabool hogi?

⬇Yaha ye Hadeeso se Saaf Zaahir ho raha hai ki Namaz Islam ke 5 Buniyadon me se dusre no pe Namaz hai or Namaz ko Chhodna Aadmi Mushrik ho jata hai Kuchh Ulemaon ka Aquaal hai ki Namaz na padhne wala Kaafir hai to fir Namaz Chhod kar Roza rakhne Wale ki Roza kaise Qabool hogi?

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اسلام کی بنیاد پانچ چیزوں پر رکھی گئی ہے: 
( ۱ )  گواہی دینا کہ اللہ کے سوا کوئی معبود برحق نہیں اور محمد صلی اللہ علیہ وسلم اللہ کے رسول ہیں،
( ۲ )  نماز قائم کرنا،
( ۳ )  زکاۃ دینا 
( ۴ )  رمضان کے روزے رکھنا، 
( ۵ )  بیت اللہ کا حج کرنا
“۔

Rasool'Allah ﷺ ne farmaya: Islam ki Buniyad 5 Chizon par rakhi gayi hai:
(1) Gawaahi dena ki Allah ke siwa koi Mabood Barhaq nahi or Muhammad ﷺ Allah ke Rasool hain,
(2) Namaz Qayam karna,
(3) Zakaat dena,
(4) Ramzan ke Roze rakhna,
(5) Baitullaah ka Hajj karna".

Jam-e-Tirmazi: 2609

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا اسلام کی بنیاد پانچ چیزوں پر قائم کی گئی ہے۔ اول گواہی دینا کہ اللہ کے سوا کوئی معبود نہیں اور بیشک محمد صلی اللہ علیہ وسلم اللہ کے سچے رسول ہیں اور نماز قائم کرنا اور زکوٰۃ ادا کرنا اور حج کرنا اور رمضان کے روزے رکھنا۔

Rasool'Allah ﷺ ne farmaya: Islam ki Buniyad 5 Chizon par Qayam ki gayi. Awwal Gawaahi dena ki Allah ke siwa koi Mabood nahi or Beshak Muhammad ﷺ Allah ke Sachche Rasool hain or Namaz Qayam karna or Zakaat Adaa karna or Hajj karna or Ramzan ke Roze rakhna.

Sahih Bukhari: 8

نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”بندے اور شرک یا بندے اور کفر کے درمیان فرق کرنے والی چیز نماز کا چھوڑ دینا ہے“۔

Nabi Akram ﷺ ne farmaya: Bande or Shirk ya Bande or Kufr ke Darmiyan Farq karne Wali Chiz Namaz ka Chhod dena hai."

Jam-e-Tirmazi: 2619

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨

Allah Ham Sab ko 5 Waqta Namaz padhne ki Paabandi Ataa farmaye or Iske Sath Roza rakhne ki v Quwwat Himmat or Shaukh se Amal karne ki Taufeeq Ataa farmaye.
Aameen YA Rabbul A’lameen
___________________

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS