find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ludo Khelne Ke Bare Me Islam Kya Kahta Hai?

Kya Ludo Khelna Jayez Hai?

عَنْ أَبِي مُوسَى الْأَشْعَرِيِّ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: «مَنْ لَعِبَ بِالنَّرْدِ فَقَدْ عَصَى اللَّهَ وَرَسُولَهُ»
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  جس نے چوسر (پانسے) سے کھیلا اس نے اللہ اور اس کے رسول کی نافرمانی کی ۔
Allah ke Rasool ﷺ  ne farmaya ki jisne Chaosar (Dice,Die) se khela usne Allah aur uske Rasool ki Nafarmani ki.
SUNAN ABU DAWOOD :4938 [HASAN/ALBANI]
Is Hadees ki raoshni me ye baat wazeh ho gai ki “LUDO” Khelna durust nhi hai q ki uske andar bhi Chaosar (Dice) yaani Paanse ka istemaal hota hai, Jis jis khel me bhi ye pansa istemal hoga vo khel khelna durust nhi, Aur bhut se log ko ye soch kar ta’ajjub bhi hoga ki hum bhut zamane se isko khelte aaye hain, aur is khel ko apne time-pass ka zariya bna rkha hai, Ye Khel Kaese mna ho sakta hai?, hum unse sirf yahi kahenge ki
{وٓمَا آتَاكُمُ الرَّسُولُ فَخُذُوهُ وَمَا نَهَاكُمْ عَنْهُ فَانْتَهُوا}[الحشر: 7].
“ALLAH KE RASOOL ﷺ TUMHE JO DEN USE LE LO AUR JISSE MNA KAREN USSE RUK JAAO”.
Share:

2 comments:

  1. सर जरा इस बात की जानकारी चाहिए कि इस कोरोना की महामारी में अगर कोई किसी को रासन देकर मदद करे और उसका रासन देते हुए फ़ोटो खीच कर फेसबुक पर डाले ये सही है या गलत ।

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sabse Pahle Aapko Bata Den Ke Deen E Islam Me Koi Bhi Amal Agar Aap Dikhawa Ke Liye Karte Hain To Wo Qubool Nahi Hogi. Wo Amal Aakhirat Ke Din Barbad Kar Diya Jayega. Allah Farmate Hain Ke Logon Ke Dikhane Ke Liye Jo Amal Karte Unko Dunya Hi Me Uska Badla Mil Jayega Aur Aakhirat Me Uski Koi Ginti Nahi Hogi.

      Jahaan Tak Aapka Sawal Hai To Aap Kisi GHarib Ki Madad Kar Rahe Hain Aur Uksa Photo Social Media Par Apni Waah WAahi Ke Liye Daal Rahe Hain To Ye Bilkul Jayez Nahi Hai.. App Uski Madad Nahi Balki Beijjati Kar Rahe Hain, Khuda Ke liye Aisa Kaam Bilkul Na Karen...

      Haa Gar Aap Kis Goverment officer Hai to Media Ko Dikhane Ke Liye Ya Report Bhejne Ke iye Photo Le Sakte Hai...

      Delete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS