find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Rajjab Ke Mahine Me Roze Rakhne ke Dalail

Ayyam baiz(Yaani islamic 13-14-15 tareekh ke roze hai)

Thursday,Friday,Saturday 21-22-23rd March inn teen tareekh ki islami tareekh 13 14 15 hai
Fazilat
Hadith: Abu hurayrah radiallahu anhu riwayat karte hai ke unho ne bayaan kiya ke mujhe mere khaleel dost *Muhammad ur rasoolullah sallallahu Alaihi wa sallam* ne teen baaton ki wasiyat ki hai main unhe marte dum tak naa chhodunga. Har mahine mein teen rozey rakhna, chaast ki namaaz aur witr padkar sona.
📖 *[SAHIH BUKHARI #1178]*

Nabi-E-Akram e kareem sallallahu Alaihi wa sallam ne farmaya : har mahine mein teen din ke roze poore saal ke roze hai( poore saal ka yeh matlab hai ke har mahine 3 din ke roze poore mahine ka roze hai agar aap har mahine 3 roze rakhliya toh yeh poore saal ke roze hojayenge) yaani ayam baiz ke roze aur ayam baiz chand ki 13th 14th 15th ki raatein hai. *[Sunnan e Nisai - 2422]

Muhammad ur rasoolullah sallallahu Alaihi wa sallam* ne unhe ayam baiz ke teen(3) roze ka hukm diya hai aur farmaya : yeh mahine bhar ke rozo ke barabar hai.
[Sunan Nasai #2433]

Rasoolullah ﷺ ne farmaya* Tumhare liye yehi kaafi hai ke har mahine mein 3 rozey rakho kyun na ke har neki ka badla 10 gunah milta hai, iss tarha zindagi bhar ka roza hoga.
[Sahih bukhari #6134]
◎_________________◎
kal wednesday ki maghrib ke baad se rajab ki 13 tareeq shuru hogi aur thursday se rozey shuru honge.

Note:📝 13 14 15 tareeqo mein friday ka din bhi aa raha hai
Lehaza bahot saare log yeh sonch rahe honge ke friday ke din roza rakhne se rasoolullah ﷺ ne mana farmaya, haan bilkul mana farmaya hai

Lekin friday ke din bhi roza rakh sakte hai uska bhi tareeqa hai
Aayiye hadees mein dekhte hai

Daleel no.1 : Rasoolullah sallallahu Alaihi wa sallam ne jumuah ke din roza rakhne se mana farmaya albatta yeh ke usse ek din pehle ya ek din baad mein rakha jaye.
*[Sunan ibn maja 1723]

Daleel no.2 : Aap sallallahu  Alaihi wa sallam ne farmaya koi bhi shaks jumuah ke din uss waqt tak roza naa rakhe jabtak usse ek din pehle ya uske ek din baad roza naa rakhta ho
*[Sahih bukhari #1985]

Daleel no.3 : jawairiya bint harith radi allahu anhuma  ne kaha Nabi e kareem sallallahu Alaihi wa sallam unke yahan jumuah ke din tashreef le aaye, ittefaq se wo rozey se thi. Nabi e kareem sallallahu Alaihi wa sallam ne uss par daryaft farmaya ke kal ke din bhi tune roza rakha tha? Unhone jawab diya ke *nahi* . Phir AAP sallallahu Alaihi wa sallam ne daryaaft farmaya ke phir aayinda kal roza rakhne ka iraada hai? Unhone kaha KE *NAHI* toh aap sallallahu Alaihi wa sallam ne farmaya ke phir roza tod do.
[Sahih bukhari #1986]

Friday ke din roza rakh sakte hai lekin uss din se jude din ka roza bhi rakhna padta hai yaani thursday or saturday.
Allah SWT Hume Kehne Sunne Se zyada Amal Karne ki taufiq Ata farmaye Aameen Yaa Musawwir.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS