Hasad [Destructive Envy] Ki Buniyad Par Aadam Alaihi Salam Ke Ek Betey Qabil Ne Dusre Betey *Habil* Ka Qatl Kiya.
Hasad Kise Kehte Hai?
Kisi Ko Khaata-Peeta Ya Falta-Foolta Dekh Kar Dil Mei Jalna
Aur Uski Neymato Ke Zawaal Khatam Hone Ki Tamanna Karna
Iss Kharaab Aadat Ka Naam “Hasad” Hai.!
Roo-e-Zameen Ka Sabse Pehla Qatl Bhi Hasad ki Buniyad Par hua
Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke
“Hasad Se Bacho! Iss Liye Ke Hazrate Aadam [Alaihay Salam] Ke Ek Bete Ne
Dusre Bete Ko “Hasad” Mei Qatl Kar Diya Tha.”
[Reference: Ibn-e-Asaakir:40/49]
Sawal: "Hasad Kaha Jayaz Hai?"
Jawab: Mafhoom-e-Hadees:
Abdullah Bin Mas’ud RaziAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah Sallallahu Alaihay Wasallam Ne Farmaya
“Hasad Sirf Do Baato Me Jayaz Hai,..”
∗(1). (Ek) Tou Uss Shakhs Ke Baare Me Jisey Allah Ta’ala Ne Doulat Di Ho
Aur Wo Uss Doulat Ko Raah-e-Haq Me Kharch Kare,
Aur
[2] Dusra Uss Shakhs Ke Baare Me Jise Allah Ta’ala Ne Hiqmat Di Ho
Aur Wo Uskey Jariye Faisley Karta Ho Aur Logo Ko Uski Taalim Deta Ho."
[Reference Sahih Bukhari, Ilm Ka Bayan, 73]
Hasido Ke Hasad Se Panah Ke Liye Dua:
Al-Quraan: *Bismillah-Hirrahman-Nirrahim
“Allah Ke Panaah Maangta Hoon, Haasid Ke Sharr Se Jab Wo Hasad Kare”.
Ameen Yaa Musawwir
[Sureh Al-Falaq, Aayat 5]
Allah Rabbul Izzat Hume Haasido Ke Hasad Se Panah Ata Farmaye,
Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhy,
Aur Khatma Humara Imaan Par Ho.
________________
Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen
No comments:
Post a Comment