find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Wo Kaunse Log Honge Jinse Qyamat Ke Din Ambiya Bhi Rashk Karenge.

WOH KAUN SE Log HAI Jin Se Qayamat KE DIN AMBIYAA AUR SHUHADA BHI UN PAR RASHK (Jealousy) karenge.

Ye Woh Log Hai Jo "AL-WaLaa WaL-Baraa" Par 'AmaL Karte Hai.
'Umar Bin AL-Khattaab (RaziALLaahu 'Anhu) Se Rivaayat Hai :
Nabi (SaLLaLLaahu 'ALaihi WasaLLam) Ne Farmaaya

"‏ إِنَّ مِنْ عِبَادِ اللَّهِ لأُنَاسًا مَا هُمْ بِأَنْبِيَاءَ وَلاَ شُهَدَاءَ يَغْبِطُهُمُ الأَنْبِيَاءُ وَالشُّهَدَاءُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ بِمَكَانِهِمْ مِنَ اللَّهِ تَعَالَى ‏"‏ ‏.‏
“ Allah Ke Bandon Mein Kuch Log Aisey Bhi Hongey Jo NABI Hongey Na SHAHEED , Magar Qayamat Ke Roz Allah Ke Haan (BuLand) Maraatib (Martabah) Wa ManaaziL Ki Wajah Se AMBIYAA Wa SHUHADAA Bhi Un Par Rashk (Envy/Jealousy) Kareyngey.”

Sahaabah Ne Kaha : Aye ALLaah Ke RasooL ! Humein Batayein , Woh Kaun Log Hongey ?

Aap (SaLLaLLaahu 'ALaihi WasaLLam) Ne Farmaaya
‏"‏ هُمْ قَوْمٌ تَحَابُّوا بِرُوحِ اللَّهِ عَلَى غَيْرِ أَرْحَامٍ بَيْنَهُمْ وَلاَ أَمْوَالٍ يَتَعَاطَوْنَهَا فَوَاللَّهِ إِنَّ وُجُوهَهُمْ لَنُورٌ وَإِنَّهُمْ عَلَى نُورٍ لاَ يَخَافُونَ إِذَا خَافَ النَّاسُ وَلاَ يَحْزَنُونَ إِذَا حَزِنَ النَّاسُ ‏"‏ ‏.‏ وَقَرَأَ هَذِهِ الآيَةَ ‏{‏ أَلاَ إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لاَ خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلاَ هُمْ يَحْزَنُونَ ‏}‏ ‏.‏
“ Ye Woh Loag Hongey Jo Aapas Mein Allah Ki Kitaab (Ya ALLaah Ke Saath Muhabbat) Ki Bina Par (Ek Doosre Se) Muhabbat Kartey They (they are people who love one another in the spirit of ALLAAH). HaaLaan Ke Un Ka Aapas Mein Koi RISHTA NAATAA Ya MAALI LEYN DEYN (financial interests) Na Tha.

ALLAAH Ki Qasam ! Un Ke Chehrey NOOR Hongey Aur Woh Log NOOR Par Hongey. Jab Log Khauf Zadah Ho Rahey Hongey , Tou Unhein Koi Khauf Na Hoga.

Jab Log Ghumgeen Wa Pareyshaan Ho Rahey Hongey , Tou Unhein Koi Ghum Aur Pareshani Na Hogi.”

Aap (SaLLaLLaahu 'ALaihi WasaLLam) Ne Ye Aayat-e-Kareemah TiLaavat Farmaai
اَلَاۤ اِنَّ اَوۡلِیَآءَ اللّٰہِ لَا خَوۡفٌ عَلَیۡہِمۡ وَ لَا  ہُمۡ  یَحۡزَنُوۡنَ
“Aagaah Raho ! ALLAAH Ke WaLiyon Ko Koi Khauf Hoga Na Woh Ghum Khayenge.” [ Surah Yoonus : 62]

Sunan Abu Daawood , Kitaab-UL-Ijaarah (Wages) , Hadees [Saheeh] : 3527

NOTE : Aey Logon Allah Ke Liye Dosti Aur Allah Ke Liye Dushmani Karo. Kyun Ke Ye Emaan Ki Mazboot Tareen Zanjeer Hai.

ALLaah Hum Sab Ko Kufr-Bit-Taaghoot, Aur Allah Ke Liye Dosti Aur Allah Ke Liye Dushmani Karne WaaLa Banaaey.

Aur ALLaah Aaj Ke MunaafiQon Ko Hidaayat De, Ya Un Ko Battareen Maut De.
آمين يارب العالمين ...

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS