Kunde Ke Niyaz Ki Haqeeqat (Reality Of Kunde Ki Niyaz)
POST : 02
Ye Niyaz Aam Awaam tak kaise pohchi?
Ab ye chalan kaafi zamane tak kwhariji chalatey rahe, uske baad ab Sunniyo ko isme kaise shamil kiya jaye iske liye Naya Akida diya gaya ke ye Niyaz Imam Jafar Sadiq (Rahmatullahi Alaihi) ki hai, Allah reham kare, jabki Imam Jafar Sadiq (Rahmatullahi Alaihi) ek tabeyeen me sse hai, aur kyunki aam awam hanfi hoti hai tou kaha gaya ke Imam Jafar Sadiq (Rahmatullahi Alaihi) Imam Abu Hanifa (Rahmatullahi Alaihi) ke ustaad hai, jabki unka milna aur sun’na sabit nahi.
Aur fir Akide diye gaye ke jo ye Niyaz karta hai uska beda paar ho jata hai, wo kamiyab ho jata hai, uski Nayya paar ho jaati hai, iske liye India ke kisi Lakkad-Haare ka qissa bhi bayaan karte hai jo Manghadat hai. fir bus lag gaye humare Musalman bhai Kundey bharne. Allah reham kare.
Reference » Jawahirul Manaqib’ By Mustafa
» Tareekh-e-Islam (Shah Moeen-Ud-Din Nadvi) Safa Number 371
» Tareekh Ibn Khaldun Vol-2, Safa-60
Lamha-e-Fikr
Ab Sawal ye aaya ke chalo agar maan bhi le ke (Nauzubillah) Allah ke Alawa bhi kisi ke liye Nazro Niyaz karna jayez hai tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke baad Ummat me sabse uncha Maqaam tou Sahaba ka hai, Unkey Naam se tou kabhi hum koi Niyaj koi Eid nahi manatey. naahi unko mansub karne wala koi deen manane ka Shariyat ne hume hukm diya.
Tou fir tabeyeen me se ek imaam ke liye khas taur par nazro niyaz karna ye kaha ka insaf hua, gour karne wali baat hai mere bhaiyo, koi aam baat nahi. Yaad rakhiye iss Kunde ki Eid ke Akide ka Shariyat-e-Islamiya me koi wajud hi nahi. iss Kundey ke Eid ki Shariyat me na koi fazilat paayi jaati hai na koi Ahqam, hatta ke iss Eid ka koi Arabi naam bhi paya nahi jata.
Sahabi-e-Rasool ke Inteqaal par Munafiqo ne Khushiya manayi Yahi hai Iski Hakikat.
To Be Continued
Allah sy dua hy Sadqa Muhammad o Aal e MUhammad s.a.w.w ap ko Roz e mehshar HAzrat MAwviya r.a k sath uthaya jaey ameen.
ReplyDeleteAllah apko YAzid k sath Mehshoor kry ameen
ReplyDelete