find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

1 Aprill Yani Fool Day Mnana Shariyat Ki Najer Me.

1st APRIL ka jhoot Ek fitna

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عُثْمَانَ الدِّمَشْقِيُّ أَبُو الْجَمَاهِرِ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَبُو كَعْبٍ أَيُّوبُ بْنُ مُحَمَّدٍ السَّعْدِيُّ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنِي سُلَيْمَانُ بْنُ حَبِيبٍ الْمُحَارِبِيُّ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي أُمَامَةَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ أَنَا زَعِيمٌ بِبَيْتٍ فِي رَبَضِ الْجَنَّةِ لِمَنْ تَرَكَ الْمِرَاءَ، ‏‏‏‏‏‏وَإِنْ كَانَ مُحِقًّا، *‏‏‏‏‏‏وَبِبَيْتٍ فِي وَسَطِ الْجَنَّةِ لِمَنْ تَرَكَ الْكَذِبَ، ‏‏‏‏‏‏وَإِنْ كَانَ مَازِحًا،* ‏‏‏‏‏‏وَبِبَيْتٍ فِي أَعْلَى الْجَنَّةِ لِمَنْ حَسَّنَ خُلُقَهُ.
Rasool Allah ne farmaya: mein is shakhs ke liye jannat ke andar ek ghar ka zamin hon jo larai jhagra tark kar de, agarchay woh haq par ho, aur jannat ke bichon beech ek ghar ka is shakhs ke liye jo jhoot bolna chor de agarchay woh hansi mazaaq hi mein ho, aur jannat ki bulandi mein ek ghar ka is shakhs ke liye jo khush Khalq (achhe akhlaq wala) ho.
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں اس شخص کے لیے جنت کے اندر ایک گھر کا ضامن ہوں جو لڑائی جھگڑا ترک کر دے، اگرچہ وہ حق پر ہو، اور جنت کے بیچوں بیچ ایک گھر کا اس شخص کے لیے *جو جھوٹ بولنا چھوڑ دے اگرچہ وہ ہنسی مذاق ہی میں ہو،* اور جنت کی بلندی میں ایک گھر کا اس شخص کے لیے جو خوش خلق ہو ۔
The Prophet ﷺ said: I guarantee a house in the surroundings of Paradise for a man who avoids quarrelling even if he were in the right, a house in the middle of Paradise for a man *who avoids lying even if he were joking,* and a house in the upper part of Paradise for a man who made his character good.
Sunan Abi Dawud: kitab Al-Adab 43, hadith no. 4800
Grade sahih
Mu’aawiyah bin Haidah Radhiallahu Anhu kehte hain ke main ne Nabi-e-Akram ﷺ ko farmaate suna hai:
وَيْلٌ لِلَّذِي يُحَدِّثُ بِالْحَدِيثِ لِيُضْحِكَ بِهِ الْقَوْمَ فَيَكْذِبُ، وَيْلٌ لَهُ وَيْلٌ لَهُ​
Tarjumah: Tabaahi aur barbaadi hai us shakhs ke liye jo aisi baat kehta hai ke log sun kar hansein halaanki woh baat jhooti hoti hai to Aisey Shakhs ke liye tabaahi hi tabaahi hai.
(Sunan Tirmizi: 2315, Abu Dawood: 4990. Hasan By: Albani)
APRIL FOOL YE Kaisa JHOOT
Hazrat Abu Saeed Khudri RaziAllahu Anhu se Rewayat hai ki Allah ke Rasoolﷺ ne farmaya ki: ” Tum zaroor ba zaroor apne pahle logon ki ittiba karoge ek-ek balisht aur ek-ek gaz me agr vo kisi goh ke suraakh me dakhil honge to tum bhi unki ittiba karoge” To Sahaba ne pucha : Aye! Allah ke Rasoolﷺ Kya Yahood O Nasara Murad han? to Aapﷺ ne farmaya Fir or kon?
SAHIH BUKHARI JILD 9, PAGE 103, HADEES 7320
Jhoot bolna Kabira Gunahon me se hai Chahe Mazaak me hi bola jaye uska Gunah likha jayega Nabi ﷺ ne Hame dusri Ummaton ki payerwi karne se sakht mna kiya hai lehaza hum musalmanon ko chahiye ki hum Gair Muslimo ke tariqe ko chod kr Nabi ﷺ ki sunnaton pr Amal karen.
In Sha Allah,
*April fool manana Islam mein jayaz nahi kyunki is din jhooth bola jata hai jo kabira gunah hai Jhooth na bolne se related kuch ahadith aapke samne pesh ki ja rahi hai*
*✦ Hadith: Halakat (barbadi) hai us shaksh ke liye jo logo ko hasaney ke liye jhooti baat kare* 
----------------------------
✦ Muawiyah ibn Jaydah al-Qushayri Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya halakat (barbadi) hai us shaksh ke liye jo logo ko hasane ke liye jhooti baat kare, iske liye kharabi hai , iskey liye kharabi hai
Sunan Abu Dawud, Jild 3,1552 -Hasan

✦ Safwaan bin Sulaim radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam se pucha gaya ki kya momeen buzdil ho sakta hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan, phir pucha gaya ki kya momeen Kanjus ho sakta hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan, phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha gaya kya Momeen JHOOTA ho sakta hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne faramaya nahi.
Imam Malik Muwatta, 2371

✦ Abu Umama Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya main us shakhs ke liye jannat ke beech mein ek ghar ki zamant deta hu jo mazaq mein bhi jhoot bolna chodh de
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1372-Hasan

✦  Abu Bakr  Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya kya main tumhe sabse bada gunaah na batauu, humne arz kiya zarur bataeeye , Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH ke saath shirk aur waldein ki nafarmani karna, aur farmaya ki aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi, aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi (bade gunaah hain) Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ise baar baar dohrate rahe yahan tak ki humne socha Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam khamosh nahi honge .
Sahih Bukhari, Jild  7, 5976

✦ Abdullah ibn masood Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Jhooth se bachte raho kyunki jhooth burayee ki taraf le jata hai aur burayee jahannam ki taraf , agar koi aadmi jhooth bolta hai aur musalsal jhooth bolta rahta hai to ALLAH ke yahan usko kazzab (jhootha) likh diya jata hai
Sahih Bukhari Jild 7, 5976

Aur sach bolna tum par lazim hai kyunki sach neki ki taraf le jata hai aur neki jannat ki taraf le jati hai, agar koi aadmi sach bolta hai aur musalsal sach bolta rahta hai to ALLAH ke yahan usko siddiq ( sachcha) likh diya jata hai
Sunan Abu Dawud, Jild  3,1551-Sahih 

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS