find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Holi Mnana Aur Mubarakbad Dena Kaisa Hai?

Holi khelna, Usme Sharik hona Ya Phir Unko Mubarak bad dena kaisa hai?

Wese Pehli bat Holi se Judi Jo saf Apko Batana Hai woh Yeh hai ki Isme  Khair ki Koy Chez Nhi hai Siwaye Nuksan ke.
Isme Hota hai kya hai?
Isme Log Sharab Pite hai
Bhang Aur Tarah Tarah ke Nashaawar cheeze Istemal karte hai.
Phir Sath me Aurate bhi Be Parda Hokar Nachna Gana Phir Mard Aur Aurat Mil kar Khelna Yeh Sab Aam hota hai
Aur usme Nashaawar cheeze
Dekha Jaye toh Zina Behayayi Ka Darwaza kholta hai Apne Dekha bhi hoga Kis tarah se yeh log Holi khelte hai,
Aur isko Manane ka Hukm Dene Wale Log bahut Bade GunahGar hai Kyuke

Ăllah SWT nei Farmaya hai:
إِنَّ ٱلَّذِينَ يُحِبُّونَ أَن تَشِيعَ ٱلْفَٰحِشَةُ فِى ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ لَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌۭ فِى ٱلدُّنْيَا وَٱلْءَاخِرَةِ ۚ وَٱللَّهُ يَعْلَمُ وَأَنتُمْ لَا تَعْلَمُونَ

"Jo log Musalmaano Mein be-hayaayi phailaane ke aarzu mandh rehte hai, un ke liye dunya aur aakhiat mein dardnaak azaab hai, Allah sab kuch jaanta hai aur tum kuch bhi nahi jaante."
[Surah 24 An-noor: Ayah 19]
Yaad Rahe Mohammad Sallahu'alayhi wa'sallam ne har Woh Cheez Bataye hai Jisme Humara Faida hai Agar Isme Faida Hota Toh Zarur Mohammad Sallahu'alayhi wa'sallam Iska Hukm kar dete Ya Phir India mei Sahaba ki jamat bhi Aayi thi Agar Isme Achayi hoti toh Zarur woh log bhi Isme Shamil Hote Par Ahle Sunnat ki Koy Jamat bhi Isme Sharik nhi hui.

Aur Yaad rakhe Apko Apne Deen Ke taraf Bulana hai Jo ki Sacha Deen hai Jisko Chhor ke Koyi Deen Nhi Agar unke Festival Me Sharik honge Toh zahir se Bat hai Unko Hamesha lagega "Isme koy Burai nhi Humara Deen Sacha hai Isliye toh Dusre log bhi Sharik hote hai"
Ap unse Sawal kare ki "Isme Faida kya hai"?
Woh bolenge "rang se khelte hai"
Toh Isme Faida wali kaunsi bat hai?
Jitna fazul Paisa Isme kharch Hota hai Utne mei Kitne Garibo ka Pet Bhar jayega

Phir apko Pata hi Hoga Qayamat ke Din Ăllah SWT Sawal karega "Maal Kahan se kamaya Aur Kahan kharch kiya"
Toh ap kya Bologe?
Ap jante ho na Maal ka sawal hoga Toh Rang Aur Patake Jaala kar isme paiso ki bhi barbadi hai
Faida toh kuch Nazar Nahi Aaraha hai Siwaye Nuksan ke..!
Ap Unko Bataye ke Isme kya kya Burai hai Tabhi log Ăllah ke Deen ke taraf Aayenge par jab Aap Unke Tarah Ho jayenge Toh Phir Apka bhi thikhana wahin hoga jo unka hoga
Kyuke Rasool Sallahu'alayhi wa'sallam ne  Farmaya Jo jis Koum ki Mushabahat kare wo unhi mei se hai.
[Sunan Abu Duad: 4031]

Isse Bache Apne Ghar walo ko Bhi Bachaye har woh amal Se Jisme Burai ho Jisme Izzat, Paisa, aur Iman Mehfuz na ho
In sab Amal se Bachne ki Koshis kare
Agar ap Yeh Kehte ho ke "itne Sare log Isme sharik hai Kya woh sab Bewakuf hai Unko ache bure ki Tamiz nhi Etc Etc...
Toh Dekho Ăllah SWT nei Farmaya:
"Aur dunya mein zyaada log aise hai ke agar aap un ka kehna maanne lage to wo aap ko Ăllah ki raah se be-raah kar denge, wo Mahez be-asal khayalaat par chalte hai aur bil-kul qayaasi baatein karte hai."
[6:116]
Jazak Ăllahu khairan

NABI SE MUHABBAT
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ : " فَوَالَّذِي نَفْسِي بِيَدِهِ لَا يُؤْمِنُ أَحَدُكُمْ حَتَّى أَكُونَ أَحَبَّ إِلَيْهِ مِنْ وَالِدِهِ وَوَلَدِهِ ".

ابو ھریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ اللہ کے نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اس ذات کی قسم جس کے ہاتھ میں میری جان ہے تم میں سے کوئی شخص اس وقت تک (مکمل) ایمان والا نہیں ہو سکتا جب تک میں اس کے نزدیک اس کے( ماں) باپ  اور اس کی اولاد سے زیادہ اس کے پاس محبوب نہ ہو جاؤں.
Abu Huraira Raziallahu se riwayat hai ke Allah ke Rasool sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya: Qasam us zaat ki jis ke hath me meri jaan hai (Allah ki qasam) Tum me se koi shakhs us waqt tak ( Mukammal) Mo'min nahi ho sakte jab tak mai use uske(Maa)  BAAP aur uski Aulad se zyada Mehboob Na Ho jaun.
📖 BUKHARI:15 📚
SAHEEH HADEES

रसूल ﷺ से मुहब्बत करना
अल्लाह के रसूल ﷺ ने फरमाया:- तीन बाते ऐसी है कि जो किसी शख्स में मौजूद हो तो वह उनके जरिए ईमान की लज्जत और उसकी मिठास को पा लेता है ! उसे अल्लाह से और उसके रसूल ﷺ से सबसे ज्यादा मुहब्बत हो (2) उसे किसी शख्स से मुहब्बत हो तो सिर्फ अल्लाह की रज़ा के लिए हो, (3) उसे कुफ़्र की तरफ लौटना उसी तरह नापंसद हो जैसा की जहन्नम में डाला जाना उसे नापसंद है !
📚सही बुखारी:16,मुस्लिम:53 !

अनस रज़ि० का बयान है कि अल्लाह के रसूल ﷺ ने फरमाया:- _तुममे से कोई शख्स मोमिन नही हो सकता ! यहा तक कि वह अपनी औलाद, अपने वालिद और दूसरे तमाम लोगो से ज्यादा मुझसे मुहब्बत न करें !
📚सही बुखारी-15, मुस्लिम-54 !

इरशादे बारी तआला है:- आप (ﷺ) कह दीजिये अगर तुम अल्लाह से मुहब्बत करते हो तो मेरी पैरवी करो ! अल्लाह तुमसे मोहब्बत करेगा और तुम्हारे गुनाह माफ कर देगा !
आले इमरान आयत-31

पस ! जो शख्स आप ﷺ की सुन्नत (तरीके) की पैरवी करे वह मुहब्बते रसूल ﷺ के दावे में सच्चा है और जो सुन्नते रसूल ﷺ की पैरवी न करें ! वह मुहब्बते रसूल ﷺ के दावे में झूठा है ! मतलब यह कि मुहब्बते रसूल ﷺ का दावा ही काफी नही बल्कि उम्मत पर आप ﷺ की इताअत और फरमा बरदारी भी जरूरी है।

Share:

5 comments:

  1. Hame gair kaum ki mushabihat se bachna chahiye

    ReplyDelete
  2. Jisne jis qaum ka tarika apanaya wah usi me se hai

    ReplyDelete
  3. Kuchh secular aur liberal gang Wale musalman hai jo khud ko unke jaisa dikhane ki koshish karte hai taki isse unlogo ki tawajjo mil sake, aur Votebank ke liye bhi

    ReplyDelete
  4. Apne votebank ke liye log gairo ka tarika apnate, yah log duniyawi fayde ke liye jannat ka sauda kar rahe hai.

    ReplyDelete
  5. Allah hame aise dayyus aur munafik Musalmano se bacha

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS