🔲 *Jo log Iman se MUNAFIQ hote hai unki Nishaniya:*
◼Aaj bhi is tarah ke Munafiq log Musalmano ke darmiyan Islam ka Libaz pahenkar baithe hai. Aap inke dhoke me Na aaye.
🌷
وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يَقُولُ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَبِٱلْيَوْمِ ٱلْءَاخِرِ وَمَا هُم بِمُؤْمِنِينَ
*"Baaz log kahte hai ke hum Allah Ta'ala par aur Qayaamat ke din par imaan rakhte hai lekin dar haqiqat wo imaan wale nahi hai"*.
يُخَٰدِعُونَ ٱللَّهَ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ وَمَا يَخْدَعُونَ إِلَّآ أَنفُسَهُمْ وَمَا يَشْعُرُونَ
*"Wo Allah Ta'ala ko aur imaan walo ko dhoka dete hai lekin darasal wo khud apne aap ko dhoka de rahe hai, magar samajhte nahi"*.
فِى قُلُوبِهِم مَّرَضٌۭ فَزَادَهُمُ ٱللَّهُ مَرَضًۭا ۖ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌۢ بِمَا كَانُوا۟ يَكْذِبُونَ
*"Unke dilo me bimari thi Allah Ta'ala ne unhe bimari me mazeed bada diya aur un ke jhoot ki wajeh se unke liye dardnaak azaab hai"*.
وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ لَا تُفْسِدُوا۟ فِى ٱلْأَرْضِ قَالُوٓا۟ إِنَّمَا نَحْنُ مُصْلِحُونَ
*"aur jab un se kaha jaata hai ke zameen me fasaad na karo to jawaab dete hai ke hum to sirf islaah karne waale hai"*.
أَلَآ إِنَّهُمْ هُمُ ٱلْمُفْسِدُونَ وَلَٰكِن لَّا يَشْعُرُونَ
*"Khabardaar! yaqinan yahi log fasaad karne waale hai lekin sha'oor (samaj) nahi rakhte".*
وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ ءَامِنُوا۟ كَمَآ ءَامَنَ ٱلنَّاسُ قَالُوٓا۟ أَنُؤْمِنُ كَمَآ ءَامَنَ ٱلسُّفَهَآءُ ۗ أَلَآ إِنَّهُمْ هُمُ ٱلسُّفَهَآءُ وَلَٰكِن لَّا يَعْلَمُونَ
*"Aur jab unse kaha jaata hai ke aur logo ki tarah (yaani Sahaba ki tarah) tum bhi imaan laao to jawaab dete hai ke kya hum aisa imaan laye jaisa be'waqoof laaye hai, Khabardaar ho jao! Yaqinan yahi be'waqoof hai, lekin jaante nahi"*.
وَإِذَا لَقُوا۟ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ قَالُوٓا۟ ءَامَنَّا وَإِذَا خَلَوْا۟ إِلَىٰ شَيَٰطِينِهِمْ قَالُوٓا۟ إِنَّا مَعَكُمْ إِنَّمَا نَحْنُ مُسْتَهْزِءُونَ
*"Aur jab imaan waalo se milte hai to kahte hai ke hum bhi imaan waale hai aur jab apne bado (apne sathiyo) ke paas jaate hai to kahte hai ke hum to tumhaare saath hai, hum to unse sirf mazaaq karte hai"*.
ٱللَّهُ يَسْتَهْزِئُ بِهِمْ وَيَمُدُّهُمْ فِى طُغْيَٰنِهِمْ يَعْمَهُونَ
*'Allah Ta'ala bhi un se mazaaq karta hai aur unhe unki sarkashi aur bahkaawe me aur bada deta hai"*.
📕(Surah 02 Baqarah : ayat 08-15)
◻ ◻ ◻ ◻ ◻ ◻
🌷......✒......🌷
*Aaj ki Ayat*
by
Akhi _Abu Inayah,
No comments:
Post a Comment