find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

4 Imam Aur Unka Paigham*

"4 Imam"  AUR UNKA PAIGHAAM

1.Hazrat Imam Abu Haneefa Rahimahullah se pucha gaya "Agar aap ka koi qaul quran majeed k khilaaf ho to kya kiya jaye?" Imam Abu Haneefa Rahimahullah ne jawab diya k "Quran majeed k muqabiley mein mera qaul chhor do", phir pucha gaya "Agar aapka qaul Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k khilaaf ho to kya kiya jaye?" imam Abu Haneefa Rahimahullah ne jawab diya k "Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k muqabiley mein mera qaul chhor do", phir pucha gaya "aap ka qaul Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhu k qaul k khilaf ho to phir kya kiya jaye?" farmaya "Sahaba Razi Allahu Anhu k qaul k muqabiley mein bhi mera qaul chhor do".
(Aqdil jeed, Haqeeqatul Fatah safa no. 69)*
2.Hazrat Imam Malik bin Anas Rahimahullah*farmate hai "Bila shubah mein bashar hu, mera qaul sahih bhi ho sakta hai, galat bhi ho sakta hai, lihaza mere qaul par gaur karo jo kitab o sunnat k mutabiq ho uspar amal karo aur jo uske khilaaf ho use chood do".
(Ibne Abdul barr Kitab jaamey Bayanul Ilm, Hadees Hujjatul banfasah safa no. 79)*
3.Imam Shaafi Rahimahullah* farmate hai "Jab tum meri kitab mein koi baat Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k khilaaf pao to meri baat chhor do aur sunnat k mutabiq amal karo", ek doosri riwayat mein hai k "Sirf sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki pairvi karo aur kisi bhi doosre shaks ki baat par tawajjo na do".
(Zakarahu Ibne Asakir wannori wa ibne qayyim, Haqeeqatul Fatah Safa no. 75)*
4.Imam Ahmad ibne Hambal Rahimahullah* farmate hai "Na meri taqleed karo, na Imam Malik Rahimahullah ki, na Imam Shaafi Rahimahullah ki, na Imam Auozayi Rahimahullah aur Imam Soori Rahimahullah ki balkey deen k ahkaam wahi se lo jaha se inhone liye (Yaani kitab o sunnat se)".
(Hamam Adla al absaar, Hadees Hujjatul banfasah Safa no. 80)*
✔Imam Abu Haneefa Rahimahullah farmate hai "Logo! deen mein apni aqal se baat karne se bacho aur Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki pairvi ko apne liye laazim karlo, jo koi sunnat se hata, wo gumraah ho gaya".
(Meezaan Sheraani,     Haqeeqatul Fatah Safa no. 82)*
✔IMAM ABU HANEEFA RAHIMAHULLAH K NAZDEEK HADEES PAR AMAL KARNA HIDAYAT HAI AUR HADEES K KHILAF AMAL KARNA GUMRAAHI AUR FASAAD HAI
⛔Imam Abu Haneefa Rahimahullah farmate hai "Log us waqt hidayat par qayam rahengey jab tak unme ilm e Hadees hasil karne wale maujood rahenge, jab hadees k bagair (deen ka) ilm hasil kiya jayega to logo mein bigaad aur fasaad paida ho jayega".(Meezaan Sheraani, Haqeeqatul Fatah Safa no. 70)

Share:

3 comments:

  1. allah ke rasool ne kahaan farmaya ki tum jabtak ghumraah nahi honge jab takke tum quran aur HADEES PAR AMAL KAROGE......PLZ ZARA DALEEL DEIN.

    ReplyDelete
  2. Jab unki wafat hone wali thi tab unhone farmaya mai tumhare darmyan do chijen chhor kar ja raha hun ek Allah ki kitab aur dusri meri sunnat yani hadees

    ReplyDelete
  3. gaegeoQtincde Jill Smith Crack
    limengunscor

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS