find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Ahle Hadees Se Murad Sirf Mohaddis Hai?

KYA AHLE HADEES SE MURAD SIRF MOHADDIS HAIN?
Jawab Hai, Ahle Hadees Se Murad Sirf Mohaddis Hi Nahi Balki Har Wo Shaks Hai Jo Quran O Hadees Par Amal Karte Aur Dono Ke Mutabik Apni Zindagi Ko Guzarey.
Aur Tum Allah Ta'ala Ki Ita'at Kartey Raho Aur Rasool Ki Ita'at Karte Raho
Quran 5:92
Akhsar Hamarey Muqallidin Bhaiyon Me Ye Baat Aam Hai Ke Ahle Hadees Se Murad Sirf Mohaddis Hain Ya Ahle Hadees Wo Hain Jisko Ek Lakh Ahadees Tafseel Ke Saath Yaad Ho.
Indono Me Se Koi Bhi Baat Sahi Nahi Hai.
Iske Dalail Ulama Ke Aqwal Se:-
Imam Bukhari رحمہ اللہ Ne Fateh Paane Waale Giroh Ke Baare Me Farmaya: "Ki Wo Ahle Hadees Hain"
[Masalah al-Ihtijaaj Baa ash-Shaafi’ee Lil-Khateeb (pg.47), Ye Sanad Sahih Hai , al-Hujjah Fee Bayaan al-Muhajjah (1/246]
Giroh Me Sirf Mohaddisin Hi Nahi Balke Unki Awaam Bhi Shumar Hain.
Imam Muslim رحمہ اللہ Ne Farmaya: "Humne Ahle Hadees Aur Unke Logon Ka Mazhab Samjha Diya Hai"
[Saheeh Muslim, al-Muqaddimah (pg.6) Pehle Bab Ke Pehle, Ek Aur Edition (1/5)]
Ahle Hadees Aur Unke Log Yani Aalim Ho Ya Jahil, Har Koi Isme Shumar Hai
Imam Ahmad Ibn Hanbal رحمہ اللہ Ne Farmaya: "Hamare Nazdeek, Ahle Hadees Wo Skahs Hai Jo Ek Hadees Pe Amal Karta Ho"
[Manaaqib Al-Imam Ahmed Li Ibn Al Jawzi Pg 208 Sahih Sanad Ke Saath]
Yani Har Wo Shaks Jiska Aqeedah Aur Amal Qur'an O Hadees Ke Mutabik Hai Wo Ahle Hadees Hai, Is Hisab Se Har Musalmaan Ahle Hadees Hai.
Shaykh Ul Islam Ibn Taymiyah رحمہ اللہ Ne Farmaya: "Hum Ahle Hadees Ka Matlab Sirf Ye Nahi Lete Ke Wo Sirf Wohi Hain Jinhonney Isey Mutalahah Kiya Hai, Isey Likhte Hain Ya Isey Bayan Karte Hain, Balkeh Hum Iska Matlab Lete Hain Jo Isey Hifz Ka Iradah Rakhta Hai, Isey Samajhney Aur Iski Pairwi Kartey, Dono Batni Aur Zahiri Se. Ishi Tarah 'Ahle Quran' (Quran Ke Logon) Ke Baare Me Yehi Kaha Ja Sakta Hai"
"Inlogon Ki Bunyadi Miyar Quran aur Hadees Ki mohabbat hai, Unke aur Unke Ma'aney Ka Hawala dete, Aur Jo Kuch Sikhte Hain Uss Par amal karte."
Majmu Al-Fatwa 4/95
Ibn Taymiyah رحمہ اللہ Ki Wazahat Se Sabit Hota Hai Ke Ahle Hadees Ke Matlab Do Tarah Ke Log: Mohaddisin Aur Unki Awaam
Abu Mansoor Abdul Qaahib Bin Tahir Al Baghdadi رحمہ اللہ Ne Shaam Ke Sharhad Elakon Me Rehne Waale Logon Ke Baare Me Farmaya: "Unme Se Sab Ahle Hadees Ke Mazhab Par Hain Ahle Sunnat Ki Taraf Se"
(Usool-ud-Deen Safah 317)
Aaisi Koi Daleel Nahi Ke Uss Elakey Me Sirf Mohaddisin Rehte The Bina Unki Awaam Ke. Is Wajah Se Abdul Baghdadi رحمہ اللہ Ke Nazdeek Mohaddisin Ki Awaam Bhi Ahle Hadees Hain.
To Oopar Ulama Ke Inn Aqwal Se Saaf Wazeh Hota Hai Ke Ahle Hadees Se Murad Sirf Mohaddisin Hi Nahi Balke Awaam Bhi Hain.
Jazakallahukhairan

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS