🌹As salamu alaikum warahmatullahi wabarakatuh🌹
🎋Bismillah hir
rehma nir raheem🎋
*AL-QURAN*
🌈Jannat wale Dozakh wale se puchenge ki kaun si chiz tumhe Dozakh me le ayi hai to woh kahenge ki; Hum namaz nahi padte the🍃
SURAH AL-MUDDASSIR SURAH NUM 74 AYET NUM 40 ::43
🌈Quran mein Allah taa'ala ne namaz ka huqm dete hue irshad farmaya hai ki Yakinan namaz musalmano par farz hai aur waqt ke sath mehdood hai 🍃
*SURAH* *NISA* *103*
🌈Aur apne mutaikeen ko namaz ka huqm dijiye aur khud bhi uske paband rahiye hum aapse rozi nahi chahte rozi to aap humko denge aur behtar anjam to parhezgaro ka hi hai🍃
*SURAH* *TAHA* *132*
🌈(Kai Ambiyaein keram ka ziqr karne ke baad farmaya)phir unke baad ais naa'khalaf paida hue jinhone namaz ko barbad kar diya aur khawahishon ki pairvi ki ye log an'kareeb kharabi dekhenge🍃
*SURAH* *MARIYAM* *59
🌈Hazrat* jabir razi Allahu anhu se revayat hai ki Rasool Allah Sal Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki bandey ke aur qufr ke darmiyan bas namaz chod dene ki kasar hai ki jab namaz chod diya to woh kasar mit gayi aur Qufr aa gaya chahe bandey ke andar na aa jaye magar doori to na rahi🍃
*MISHKAT* *SHARIF* *MUSLIM* *SAFHA* *58*
🌹NEXT POST IN SHA ALLAH TOMORROW🌹
*🌷
Home »
jannat aur jahannum ja zikar.
,
jume ke din padhe jane wali dua
,
namaj ki ahkam
» Namaj ke Ahkaam.
No comments:
Post a Comment