find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Quran Padhna Sabse Zaruri Azkar HAi.

 Quran Padhne Ki Fazilat, Quran Padhne Wale Ki Azmat

ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
Kya apne aaj quran padha?
Imam Nawawi رحمه الله kehte hai :-
Quran ka padhna sabse zaruri azkar me se hai jo hamesha krte Rehna chahiyee hasbe Ma'amul(regularly).
Ref:-
كتبا الأذكـار للنـووي ١٢٢٥/٢
Ibn Jawzi رحمه الله Farmate hai :-
*Jiske pass mush'af (quran) ho to use chahiye woh usme se jo asan lage use padhe esa na ho ke woh usme se ho jaye jisne quran ko chod diya ho.
*Ref:-* الآداب الشرعية ٢\٣٠٠
Ibn Abbas رضي الله عنه kehte hai :-
Allah uski zimmedari leta hai jo quran padhta hai aur uspar amal karta hai .. woh gumrah nhi hoga aur na hi qayamat ke roz mayus hoga.
Ref:- مفتاح دار السعادة ٥٨/١
Aur dusri jagah Farmate hai :-
Aur woh jisne quran na ho( woh quran na padhta ho) samjho woh barbaad ghar hai*
Ref: تفسير الطبري ٩\٣٨٥
Ibn Masood رضي الله عنه kehte hai :-
*Quraan Allah ka qalaam hai beshaq jo quran se muhabbat karta hai woh Allah se Muhabbat karta hai*
*Ref:-*
فقه الأدعية والأذكار ج١ ص٦٦
Aur farmate hai :-
*Jo koi quran se Muhabbat kare uske liye khush khabri hai*
*Ref:-*
تفسير سعيد بن منصور فضائل ٣
Rasulallah ﷺ ne farmaya :- *jo shaqs(Mo'min) quran padhta hai uski misaal citron(Narangi jesa fruit) fruit jesi hai khane me bhi acha aur khusbu me bhi*
Aur woh (Mo'min) jo quran nhi padhta *uski misaal khajur jesi hai hai jo khane me to mithi hoti hau lekin khusbu nahi hoti*
*Ref:-* sahi Bukhari 5020
*Quran Hujjat hai tumhare liye aur tumhare khilaf*
Rasulallah ﷺ ne farmaya :-  *Quran shifa banega unke liye jo iske haqdar hai(ya'ni iske tilawat krne wale) aur uske khilaf hoga jisne isko tarq kiya.*
aur jisne isko(quran) ko apne aage rakha to woh(quran) use jannat me lejayga aur jisne quran ko apne peche rakha to woh usse jahannum lejayga
*Ref:-*
رواه ابن حبان في الموارد صفحة ٤٤٣ ، صححه الألباني
Aur Rasulallah ﷺ ne farmaya :-
*Jo koi Allah aur uske Rasool se Muhabbat karna chahata hai usse chahiye woh quran padhe*
*Ref:-* Sahee jamee sagheer 6289
*Quran ko saaf aur tartil se padho*
Al-Quran (73:4)
  وَ رَتِّلِ الۡقُرۡاٰنَ تَرۡتِیۡلًا
quran ko thehar thehar kar ( saf ) parha ker
Tafsir imam ibn al jazari رحمه الله is ayah ki tafseer me kehte hai :- Jo koi Allah ki is kitab ko acha aur saaf padh sakta hai lekin woh janbhuj ke galat padh rha hai to woh sach me gunah kar rha hai.
(Al-Nashr fi'l Qira'at I-Ashr.)
Quran ko gharo pe padho
Abdullah bin masood kehte hai ke woh ghar khali hai jo Allah ki kitab se khali ho
Yani:- woh ghar barqat aur achayi se khali hai.
( مصنف ابن أبي شيبة 30024)
jis ghar me surah baqra padhi jaye us ghar me shaytan dakhil nhi hota.
Imam ibn Rajab  رحمه الله kehte hai :-
Allah ke qareeb lane wali chijo me se ek chij yeh bhi hai  banda apni tilawat e quran me izafa kare (yani use aur jyada padhe) aur usko sune aur uspe gaur o fiqr kare.
Imam shafee:-
agar aap apna dil saaf karna chahte hai aur apni aulaad ko sahi akhlaaq sikhana chahte ho to unhe chahiyee woh quran se jud jaye.
(Jami'al Uloom wal-hikm 2/342)
(Hilyatal Awliya v9 page 123)
Ibrahim al-Maqdisi apne shagirdo ko naseehat karte hai :-
Quran ki tilawat ko badhao aur isse choro nhi  aur tumhe woh kaam asani se ho jayga jiske taraf tumh jiddao jahad karte ho.
Share:

1 comment:

  1. Ak shaikh pura quran padh kar khatam kar de to use kitna sawab milta hai.

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS