Ramzan Mahine Ki Fazilat.
Hazrat Abu Hurairah Radhi ALLAH Anhu se riwayt hai ke Rasul ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab ramadan ka mahina aata hai to aasman ke tamaam darwaze khol diye jate hain, jahannam ke darwaze band kar diye jate hain aur shayateen ko zanjeeron se jakad diya jata hai.
(Tirmizi, Ibn Majah, Ibn Hibban, Haakim, Bayhaqi)
[Saheeh ul-Jami' 759] (Hasan)
Ise Bukhari aur Muslim ne riwayt kiya hai
Is hadis se ramadan ke mahine ki fazilat pata chalti hai. Ramadan ka paak mahina bahut rahmato aur barkato wala mahina hai jisme ALLAH TA'ALA apne bando ke liye jannat ke darwazo ko khol kar jahnnam ke darwazo ko band kar deta hai. Is mahine ki fazilat is baat se bhi pata chalti hai ke shayateen ko qaid kar diya jata hai aur ALLAH apne bando ko nekiya karne aur buraaiyo se bache rahne ka pura mauqa deta hai taake hum sab ALLAH ke bande apni gunaaho ki tauba kar sake aur apni nekiyo me izafa kar sake. ALLAH hum sab ko ramadan ke is babarkat mahine ki barkato se faizyaab hone ki taufiq ata farmaye. AMEEN.
ہم نے عتبہ بن فرقد کی عیادت کی تو ہم نے ماہ رمضان کا تذکرہ کیا، تو انہوں نے پوچھا: تم لوگ کیا ذکر کر رہے ہو؟ ہم نے کہا: ماہ رمضان کا، تو انہوں نے کہا:
میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے سنا ہے: ”اس میں جنت کے دروازے کھول دئیے جاتے ہیں، جہنم کے دروازے بند کر دئیے جاتے ہیں، اور شیاطین کو بیڑیاں پہنا دی جاتی ہیں، اور ہر رات منادی آواز لگاتا ہے: اے خیر ( بھلائی ) کے طلب گار! خیر کے کام میں لگ جا ۱؎، اور اے شر ( برائی ) کے طلب گار! برائی سے باز آ جا“ ۲؎۔
Roman Urdu
Arfajah ne kaha ke Utbah bin Farqad ki iyadat ki to hamne maah e Ramzan ka tazkirah kiya to unohne puucha: tum log kya zikr karrahe ho? Ham ne kaha: maah e Ramzan ka,to unohne kaha:
Maine Rasullullah (ﷺ) ko farmate suna hai: isme jañnat ke darwaze khul diye jate hain,jahañnam ke darwaze band kardiye jate hain,aur shayateen ko bediyaan pehnadi jati hain,aur har raat munadi aawaaz lagata hai: Aye khair (bhalai) ka talabgaar! Khair ke kaam me lag ja,aur aye shar (burai) ke talabgaar! Burai se baaz aaja.
English
It was narrated that 'Arfajah said; 'We visited 'Utbah bin Farqad (when he was ill) and we talked about the month of Ramadan. He said; 'What are you talking about?' We said:
'The month of Ramadan. He said: "I heard the Messenger of Allah say: In it the gates of Paradise are opened and the gates of the Fire are closed, and the devils are chained up, and a caller calls out every night: O doer of good, proceed; O doer of evil, desist!"'
Hindi
अरफजह ने कहा कि हमने उतबाह बिन फरकाद कि इयादत कि तो हमने माहे रमजान का तज़किरा किया तो उन्होंने पूछा : तुम लोग क्या ज़िकर कर रहे हो ? हमने कहा माहे रमजान का। तो उन्होंने कहा.
मैंने रसूलुल्लाह (ﷺ) को फरमाते सुना है : इसमें ज़न्नत के दरवाजे खोल दिये जाते है, जहन्नम के दरवाजे बंध कर दिये जाते है और शैतान को बेडिया पहेना दी जाती है। और हर रात मुनादी आवाज लगाता हैं : अय खैर(भलाई) का तलबगार ! खैर के काम में लग जा और अय शर(बुराई) का तलबगार ! बुराई से बाज आ जा।
Grade: Hasan (Darussalam)
[ Sunan an-Nasa'i: 2107 ]
---------------------------------------------------
No comments:
Post a Comment