"Muttfaq Alaihi متفق الیہ Hadees" kise kaha jata hai?
"Muttfaq Alaihi متفق الیہ Hadees" us Hadees ko kaha jata hai jis Hadees ko Imam Bukhari ne apni kitab "Sahih Bukhari" me aur Imam Muslim ne apni kitab "Sahih Muslim" me ek sath bayan ki ho yaani jo Hadees in dono Sahih Kitabo me ek sath paayi jaati ho aise Hadees ko "Muttfaq Alaihi Hadees" kaha jata hai. Aisi Hadees Sahih hone me koi shaq baaqi nahi rahta.
🔻 Misal ke taur par ye Hadees Muttafaq Alayhi Hadees hai:
Abu Huraia (RadhiAllahu) kahte hai ke Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ne Irshaad Farmaya:
"Jab Allah Takhleeq Mukammal Kar Chuka To Usne Kitab Me Likha Ke Meri Rahmat Meri Gusse Par Galib Hogi Wo Kitab Allah Ke Paas Hai Arsh Ke Upar".
📙(Sahih Bukhari Kitabul Bad Ul Khalk Hadees No. 3194)
📙(Sahih Muslim Kitabut Tauba Hadees No. 2751)
Ye Hadees "Muttfiq Alaihi Hadees" ki ek misaal hai.
Allahu Aalam Bis-Sawab
🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴
Allah may accept our this small effort and keep us away from RIYA.
No comments:
Post a Comment