find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Auraton ke Bnao Singaar Ka Jayeza. (Part 01)

Auraton Ke Liye Perfume aur Itr ka Istemal Karna.

Aurat Ke Banao Singaar Ke Sharai Ahkam
_Part 1

Perfume,itr wagerah Ka Istemal
Islam Aurat Ke Banao Singaar Ka Mukhalif Nahi Hai
"Magar Wo Chahta Hai Ke Uska Banao Singaar Ka Dikhawa Har Taraf Se Hatkar Sirf Apne Shauhar Ki Taraf Aa Jaye"
Har Qism Ka Zeenat Aur Har Qism Ki Khushbu Usi Shauhar Ke Liye Istemal Ki Jaye,, Isi Liye Hadees Shareef Me Aaya Hai:-
Jo Aurat Itr, Perfume Wagairah Laga Kar Bahar Nikle, Aur Uska Guzar Aeise Logon Par Ho, Jo Uski Khushbu Mehsus Kare
"To Wo Aurat Zaniya (Jesi Gunahgar) Hogi" Musnade Ahmad 4:414
Islam Kisi Musalman Aurat Ko Is Baat Ki Ijazat Hargiz Nahi Deta Hai Ke
"Raaston Aur Bilkhusoos Mardo Ki Mehfilo Ke Paas Khushbu Me Achi Tarah BasKar Uska Guzar Ho" Kyun ke Husn To Chhup Sakta Hai Lekin Itr Aur Khushbu Ko Kaun Rok Sakta Hai...
"To Esa Nahi Ke Bilkul Roka Gaya Hai.
Ijazat Di Hai
Lekin Kiske Liye Khushbu Ka Istemal Kiya Ja Sakta Hai. Ye Upar Zikr Kar Diya"
In sha'Allah Dusre Part me Beauty Parlour ke Bare Me Zikr Hoga.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS