find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Shauhar ko Ghar Ki kamo Me Madad Karna.

Islam Me Khawateen Ka Maqam
Part 4
Allah Ta'ala Ne Jaise Insano Ko Alag Alag Banaya Hai
jaise  Mard, Naujawan,
Budha, Bachcha,
Aurat, Nojawan Ladki  Insan Ke Upar Jo Daur Aata Hai
Usi Lihaz Se Uski Harkate Bhi Ho Jati Hai
For Exampale. Bache Me Bachpana, Nojawani Ke Aalam Me Itrana Khub Fashion Karna, Zaeef Hone Par Budhape Wali Harkate
Beherhaal Kehne Ka Matlab Ye Hai Ke Agar Nojawan Ya Budha Bacho Wali Harkate Kare.To Ham Kehte Hai Ke Kahin Pagal To Nahi Ho Gaya. Ya Nojawan Budho Wali Harkat Kare To Ek Jumla Mash-hoor Hai Ke "Chadti Jawani Manjhe Dheele" Or Ye Jumla Ek Tanz Ke Taur Par Kaha Jata Hai.
Isi Tareeqe Se Jo Kaam Allah Ne Aurato Ke Liye Khas Kiye Agar Koi Mard Un Kaamo Ko Kare.To Uska Ek Mazaq Ban Jata Hai.
Mager Kuchh Kame Shauhar ko Karni Chahiye Aap Sallahu Alaihe Wasallam Bhi Ghar Ki Kamein Kiya Karte They.

Ghar Me Kapde Dhona, Bartan dhona, Khana Banana, Jhadu Dena,
To Agar Wo Kisi Majburi Me Ye Kaam Kar Raha Hai To Log Use Kehte Hai Ke Ye To Joru Ka Ghulam Hai,Ya Ye Ke Usko Kehte Hai Ke Ye Mard Chhodkar Is Insan Ko Aurat Banna Pasand Hai
Kehne Ka Matlab Ye Hai Ke Soceity Me Isko Aaib Samjha Jata Hai. Kyun ke Ye Kaam Aurato Ke Liye Khas Hai
Lekin Badi Herat Ki Baat Ye Hai Ke Jo Kaam Mardo Ke Liye Khas Hai Or Wo Aurat Kare To Soceity Me Usko Aaib Nahi Samjhte Aur Is Cheez Ne Hamari Behno Ki Izzat o Ehmiyat Ko Khatam Kar Diya Hai. Aur Afsos Ki Baat Ye Hai Ke Hamari Behno Ke Zehen Se Khud Ye Baat Nikal Chuki Hai Ke Ye Kaam Karne Se Hamari Shaksiyat Ki Ehmiyat Bilkul Khatam Hoti Ja Rahi Hai
Wo Kya Kaam Hai Jisse Hamari Behno Ki Shaksiyat Ki Ehmiyat Ghat'ti Hai.
In sha'Allah Kal Zikr Karenge

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS