find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Auraton Ka Bnao Singaar Ka Jayeza. (Part 02)

Beuty Parlour Se Hone Wale Nuksanaat
Part 2
Beauty Parlour Ke Nuqsanat
Beauty Parlours Me Jane Se Aur Naye Naye Feshion Ikhtiyar Karne Se Khawateen Ke Chehre,Jism Aur Balon Ka Qudrati Husn Khatam Ho Jata Hai
Aur Isse Bahut Se Nuqsanat Bhi Hote Hai,
"Is Silsile Me Qahira Medical College Ke Professor Dr. Abdul Mun'im Sb Ki Tehreer Fikr Angez Hai.
Ghor Se Padhiye:-
"Is Tarah Beauty Parlour Jakar Balon Ki Setting Karwana, Europe Ke Lihaz Se Mukhtalif Coulers Se Unhe Rangna, Balon Ko Jhadne Aur Unke Andar Zakham Dene Ke Liye Mukhtalif Ghair Fitri Tareeqe Istemal Karna, Jisse Baal Jaldi Gir Jate Hai,Unki Jade Kamzor Ho Jati Hai"
"Ya Setting Machine Istemal Karna Ya Dawaon Ka Istemal Karna"
Jinse Balon Ko Sakht Nuqsan Hota Hai,,,
Kisi Bhi Aurat Ke Liye Aeisi Cheezon Ka Istemal Munasib Nahi Hai,,,
Kyun ke Ye Balon Ke Liye Sakht Nuqsan Dene Wali Cheez Hai,,,
Khawateen Ko Aeise Singaar Se Bachna Chahiye....
Hamari Bohut Saari Behno Ko Ye Malum Bhi Nahi Ke Unke Sar Ke Balon Ko Kheench Taan Kar Rakhne Ka Matlab Ye Hai Ke Unki Jado Par Zor Daala Jaye...
Aur Khoon Ki Makhsoos Miqdar (Jo Pahuchni Chahiye) Balon Ki Jado Me Ponchne Na Di Jaye...
Jisse Balon Ki Jade Kamzor Ho Jati Hai
Aur Baal Jaldi Gir Jate Hai, Jiska Nateeja Ye Hote Hai Beauty Parlours Me Facial, Hair Cutting, Threading, Bleeching, Karwakar,,,,, Aur EyeBrow, Upperlips,  BanwaKar BanThan Kar Nikalne Wali Behen Ya Maa Kuch Dino Tak To BaZahir Achchi Bhi Lagegi, Lekin Uske Baad jahan Is Singaar Ka Asar Khatam Hua To 25 Saal Ki Behen 50 Ki Nhi To 40 Saal ki Amma Zaroor Lagti Hai
"Aur Gunah Ka Asar Ye Zaroor Hota Hai Ke Shauhar Ke Dil Me Muhabbat Ke Bajaye Nafrat Beth'ti Hai"....
In sha'Allah Kal Ham Beauty Parlour Ka Hi Part 2 Zikr Karenge

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS