find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Wuzu Ki Ahmiyat Aur Fazilat.

WAZOO KI AHMIYAT AUR FAZEELAT
Wazoo ki ahmiyat
“Ai imaan waalo! jab tum namaaz ke liye utho to apne mu ko aur apne haatho ko kohniyo samet dhulo, apne saro ka masah karo, aur apne paao ko takhno samet dhulo…. ”
📘(Surah Maydah : 6)

✔Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya
“Wazu salah(namaz) ki kunji hai, Salah ki shuruat takbeer se hai aur uska akheer salam hai”
📚(Sahih ibn Majah, 222)

🔴Wazoo ki Fazeelat

Wazoo zahiri taharat wa safai ke alawa androon aur baatin ki safaai aur paakizgi ka zariya bhi hai.

✔Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :
“jis waqt momin wazoo shuru karta hai phir kulli karta hai to uske muh ke gunah nikal jate hai phir jis waqt naak jhadta hai to uske naak ke gunah nikal jate hai( isi tarah jo jo aage badhte jata hai uske hath, pair aur sar ke gunah nikal jate hain) phir jab wo namaz ada karta hai aur zikr o tasbeeh se farigh hokar nikalta hai to gunaho se us tarah(paak hokar) laut ta hai jaise wo us din (paak) tha jab uski maa ne usko paida kiya tha.
📚(Sahih Muslim, 244)

✔Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :
“Kya main tumhe wo cheez na batau ke jiske sabab Allah Ta’ala gunaho ko door aur darjaat ko buland karta hai?
Sahaaba ne arz kiya: Ai Allah ke Rasool sallallaho alaihi wasallam irshad farmaiye.
Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :
” Mushaqqato ke bawajood kamil wazu karna, masjido ki taraf ziyaadah(qadmo se) jana aur salah(namaz) ka intezar karna gunaho ko bilkul dho deta hai. ”
📚(Sahih Muslim, 251)
✔Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se sawal kiya gaya ke aap(mahshar me)  dusri umamto ke darmiyan apni ummat ko kaise pahchanege? to Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya :
” Meri ummat ke log wazoo ke asar se Roshan(safed) chehre aur safed hath paao wale honge iss tarah unke siwa aur koi nahi hoga. ”
📚(Sahih Muslim, 247,248)
✔Abu Hurairah Radiallahu anhu se riwayat hai ke main ne apne dost Muhammad sallallaho alaihi wasallam ko ye farmate hue suna: (Jannat mein) Momin
ka zewar waha tak phahuchega jahaan tak wazu ka pani phahuchega.
📚(Muslim, 250)
-------------------------------------

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS