Kya HAMAARE DIL MURDAH HOGAYE HAIN?
Ibn Al-Qayyim [رحمه الله] ne kaha :
"Us shakhs ke andar kya achhaayi ya bhalaayi hai Jo Allaah ke Muqaddas (paak) cheezon ki khilaaf warzi hotey huye dekhta hai, Allaah ke Hudood mein (logon ko) Hadd se badhte huye dekhta hai, Uske Deen ko chhodte huye dekhta hai, Uske Rasool (ﷺ) ki Sunnat ko Nazar Andaaz Karte huye dekhta hai lekin phir bhi uske ravayye (behaviour) mein kuch Farq nahi aata usme kuch alag Nahi dikhaayi deta balke 'thandey dil' aur khamosh Zabaan ke saath hi rehta hai, jaisa ke khamosh Shaitaan hota hai.
Aisey log, Allaah ke saamne haqeer hone ke alaavah badtareen beemaari ka shikaar bhi hogaye hain Ya'ni unke dilon ki maut (hochuki hai). Jitna zyaada dil zindah aur Mutaharrik (energetic) hoga utna hi zyaada woh Allaah aur Uske Rasool (ﷺ) ke liye ghussa mehsoos karega, aur bhi mazboot aur zyaada Mukammal tareeqey se Deen ki madad karega."
[I'laam Al-Muwaqqi'een : 117/2]
No comments:
Post a Comment