Shahar-e-Madina ki Azmat
Abu Hurirah Radiallahuanhu se rivayat hai ki Rasool-AllahuSal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Madine ke Raaston Par farishte hain Na Ismein taoon( plague ki beemari) aa sakti hai aur na dajjal
📒Sahih Bukhari, Vol 3, 1880
Anas Radi allahu anhu se Riwayat hai Ke Rasool-Allahu Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh ALLAH jitni Makka Mein Barkat Ataa farmayi Hai Madiney mein us sey Duguni barkat Ataa farma.
📒Sahih Bukhari, Vol 3, 1885
Aisha Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ya Allah hamare Dilon mein madine ki Muhabbat is tarah paida kar de jaise makka ki muhabbat hai Balke Is Sey bhi Jyada.
📒Sahih Bukhari, Vol 3, 1889
Ibn Umar Radi Allahu Anhu se Riwayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya tum mein se jo ye kar sake ki wo Madine mein Aakar Faut Hoye to wo aisa jarur kare isliye ki main Madine mein Faut Hone wale ke haque Mein Gawahi Dunga.
📒Sunan Ibn majah, Jild 2, 1269-Hasan
Zaid bin Aslam Radhi Allahu Anhu ne apne walid se suna ki Hazrat umar Radhi Allahu Anhu ye kaha karte they Ya ALLAH mujhe tere raaste mein Shahadat naseeb farma aur Tere Rasool Sallallahu Alalihi Wasallam ke Shahar (Madina) Mein Maut Naseeb farma.
Sahih Bukhari, Vol 3 , 1890.
No comments:
Post a Comment