find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Yah Qawwali "Bhar Do Jholi Meri Ya Mohammad" Kahna Jayez Hai?

Qawwali Gana Aur Usme Shirkiya Jumle Istemal Karna Kaisa Hai? Kya Qawwali Islam Me Jayez Hai?
Shirk 1:
Aaj ka Musalman Kahta hai
"Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad...."
QURAN Ka Jawaab "Aey Nabi Insano Se Keh Dijiyee Ki Mai Tumhare Nafa Or Nuqsan Ka Ikhtiyaar Nahi Rakhta Ye Sirf ALLAH ke Paas Hai"
📚[Surah Jinn Ayat # 21, Surah Al-Aaraf # 188]

Shirk 2.
"Shahe Madina Saare Nabi Tere Dar Ke Sawali"
Quran kahta hai :-
"Aey Logo Tum Sirf ALLAH ke Dar Ke Faqeer Ho"
📚[Surah Fatir # 15]

Shrik 3.
"Jo Mang Dar-E-Mustafa Se Maang"
Quran kahta hai :-
"Jo Maango Sirf Mujh ( ALLAH ) Se Mango Sirf Mai Tumhari Dua Qabool Karta Hon"
📚[Surah Momin # 60]
Shirk 4.
"Maula ALi Meri Kashti Paar Lagade"
Quran kahta hai:-
"Jin Ko Tum ALLAH K Siwa ( Apni Mushkilat Mai ) Pukartey Ho Wo Tumhari He Tarah Ke Bandey Hain, Ager Tum Sache Ho To Zaroori Hai ke Jab Unhey Pukaro To Wo Iska Jawaab Dein"
📚[Surah A'raaf # 194]

Wo Khuli Gumraahi Me Jaa Fansa .…
Allah Aur Uskey Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Nafarmani Kis Tarah Gumrahi Laati Hai Iskey Talluk Allah Rabbul Izzat Ek Aayat me Bayan Fermata Hai
Al-Quran: “Ke Kisi Momin Mard Aur Momin Aurat Ke Liye Jayaz Nahi Ke –
Jab Allah Aur Uskey Rasool Koi Baat Ka Faisla Kar De Unmey Tou Wo Kisi Kism Ki Apni Raay Rakhe Uss Faisley Me.
Agar Jisne Aisa Kiya Ke Allah Aur Uske Rasool Ka Faisla Aaney Ke Baad Apni Raay Rakhi Wo Khuli Gumraahi Me Jaa Fansa…”
📚– [Surah(33) Ahzab: Ayat-36]
Tou Iss Aayat Me Allah Rabbul Izzat Ne Wajahat Farma Di Ke
“Allah Aur Uskey Rasool Ki Baat Ko Chorna, Sunnat Ko Tarq Karna Jayaz Nahi Hai..
Aur Jo Aisa Kare Wo Khuli Gumraahi Me Ja Fansa.. ”
Lekin Aaj Kitni Baar aisa hota hai ke Sunnat-e-Rasool ko Tarq karna to hamara Shaiwa ban Gaya hai.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS