Ham Dadhi kyu Mundate Hai?
Ladki, Shadi, Bivi, Society, Hamse Gunah Hote Hai, Etc.
Ye Wo Wujuhat Hai Jiski Wajah Se Mard Dadhi Ko Mundate Hai. Isliye Munasib Samjhte Hue Ke Pehle Wujuhat Par kuchh Tabsera karoo.
Ladki
Aaj Kal Ki Ladkiya Dadhi Walo Ko Pasand Nahi Karti.
Pehli Baat Kisi Ladki Se Ishq Ladana Na jayez Hai. Agar Kisi Ladki Se ittefaqan Mohabbat Ho Bhi Jaye To Uska Jayez Tariqa Ye Hai Nikah Ka Paigham Uske Ghar Bheja Jaye. Na ke Ishq Ladaya Jaye.
Or Bade Afsos Ki Baat Ye Ke Kisi Na Jayez Kaam Ke Liye Itna Bada Dadhi Ko Kataane wala haraam kaam Kiya Ja Rha Hai.Ye Kahan Ka Usool Hai.
Shadi
Jo Ladki Dadhi wale Ko Pasand Na Kare Ye Us Ladki Ki Bad Naseebi Hai Kyun ke Uske Mard To Pasand Aane Band Ho Gaye Ab Wo Apni Shakal Ka Mard Dhundti Hai. Ke Agar Wo Aaiyne Me Dekhe To Dono Ki Shakal Ek Jesi Lage.
Esi Ladki Bad Naseeb & Be Aqal hai Jisko Dadhi Wala Pasand Nahi Hai. Hamara Usool Ye Hona Chahiye Ke Ham Kisi Haal Me Aaqa Sallallahu Alaihi wasallam Ki Sunnat Ko Nahi Chorenge.
Biwi
Baaz Log Kehte Hai Ke Biwi Ka Bhi Haque Hai Usko Dadhi wala Pasand Nahi hai. Or Biwi Ke Huqooq bhi dekhne padte hai. Kahi Us Ka Dil Na Dukh Jaye. Aeise Logon Ko Is Hadees Par Gaur Karna Chahiye Ke Aaqa Sallallahu Alaihi wasallam Ne Farmaya Makhlooq ki Itteba Or Ye Ke us ka Dil na Dukhna Wahan Tak Dekha Jayega Jahan Allah Ka Hukm Na Toot Raha Ho. Ager Kisi Baat Se Allah ka Hukm Toot Raha Ho Or Dusri Taraf Makhlooq Ka Dil Dukh Raha Ho To Makhlooq ke dil ko chhor ker ALLAH Ke Hukm Par Amal Hoga.
Or Biwi Ko Ye Haque Nahi Hai Ke Wo Shauhar Ko Dadhi Mundane Ko Kahe.
Dadhi Rakh kar Gunah Hota Hai
Iska Matlab Aap Gunah Karna Chahte Hai, phir to Aankh, Naak & Kaan ke hotey bhi Gunah kyu karte ho, usko bhi kaat lo,
Jese Aankh, Naak & Kaan Qudrati Cheezey hai Daarhi bhi Qudrati hai.
Fir to kal koi ye kahega ke Aankh, Naak & Kaan to paidashi hai, Daarhi Kahan paida hote hi aati he, tab usko Chahiye ke apne 32 Daanto ko Hathoda Maarkar Tod ley, kyu ke Daant bhi paida hotey hi nahi aate, baad me aate hai.
Ye kahan Ka Usool Hai ke kisi na Jayez kaam ke liye kisi Sunnat ko tark karna Allah Ke hukm Ko Todna Ajeeb bewquf Insan hai wo jo ye khta hai. Gunah se tab bhi bachna chahiye jb dadhi na ho. Aur jab ham dadhi rakh lenge. Ye dadhi khud GUNAHON se BACHAYEGI. In sha'Allah
No comments:
Post a Comment