find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Islam Me Auraton Ka Kya Muqaam Hai?

Islam Ne Auraton ko Kaunsa Sa Muqaam Diya Hai?
Jis Unwan Par Me Post Karna Chah Raha Tha Kisi Wajah Se Usme Takheer Ho Gayi
Aur Ye Bhi Socha Ke Usse Pehle Tamheed Bandhu.
Isliye Ke Aksar Sunne Me Aur Dekhne Me Aaya Hai Ke Log Kehte Hai Ke Islam Ne Aurat Ko Qaid Kiya Hai Aur Khud Musalman Khawateen Ka Haal Ye Hai Ke Wo Khud Apni Zaban Se Ye Jahilana Alfaz Kehti Hai. Bade Afsos Ki Baat Ye Hai Ke Khawateen Islam Ki History Ko Nahi Janti,Aur Apne Maqam o Martabe ko Nahi Janti. Unka Waqt Seriol, Mobile, Internet, movies, Aur Bekar Ki Baato Me Zaaya Hota Hai. Khwateen Ko Janna Chahiye Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Tashreef Aawri Se Pehle Inka Maqam Is Duniya Me Kya Tha, Aur Islam Ne Unko Kis Maqam Se Nawaza Rasoolullah Ki Tashreef Aawri Se Pehle Khawateen Ki Koi Haisiyat Nahi Thi Unko Paida Hote Hi Zinda Dafna Diya Karte The Aur Unki Haisiyat Ghar Me Ek Nokrani Ki Thi Unki Sath Narawa Sulook Kiya Jata Tha Agar Kisi Ka Shauhar Mar Jata To Uski Biwi Ko Tane Diye Jate Aur Usko Manhooss Aur Na Jane Kaise Kaise Nazeba Alfazo Se Nawaza Jata. Balke Qareeb Ke Zamane Me Bhi Ghair Mazhab Ke Log Ke Yahan Agar Kisi Ka Shauhar Mar Jata To Aurat Ko Uski Sath Zinda Jala dete the.
Islam Aaya Islam Ne Bataya Ke Aurat Ka Kya Maqam Hai.
Kaha Agar Ye Biwi Hai To Mard Ke Aadhe iman Mukammal hone Ka Zariya Hai
Agar Beti Hai To Baap ke Liye Jannat Me jane Zriya
Agar Maa Hai to Iske Qadmo Ke Neeche Jannat
Behen Hai To Bhai Ke Liye Rehmat
Nabiyo Ko Janam Dene Wali, Waliyo Ko janam Dene wali, Buzurgo ko, ulama ko,nek logo ko, Sabko Janam (born) Dene Wali Ek Aurat Hi Hai.
Aur Bhi Fazail Hai In ShaAllah Agali Post Me Bayan Karenge. Uske Baad Apne Unwan Par Aayenge.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS