Pabandi Se Kiya Gaya Amal
➡ Pabandi wa Ehtamam
Hazrat Ayesha radhiallahu Anha Se Riwayat Hai Ke Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, "ALLAH SUBHANAHU WA TA'ALA Ke Nazdeek Tamaam Aamal Me Zyada Mahboob Amal Wo Hai Jo Pabandi Se Kiya Jaaye, Agarche Thoda Hi Ho."
📚 Sahih Muslim Hadees No.1866
❗❗Note :-
Is Hadees Se Maloom Huwa Ke Kisi Amal Ko Pabandi wa Ehtamam Ke Sath Karna ALLAH TA'ALA Ko Pasand Hai.
Amal Se Muraad Nek Wa Jayez Amal Hai, Naa Ke Koi Najayez Ya Gunaah Ka Amal.
Jaise Ke Pabandi Ke Sath Qur'an Majeed Ki Tilawat Karna Chahe 1-2 Aayate Hi Padhi Jaye. Toh Agar Hum Kisi Nek Aur Halaal Kaam Ko Pabandi Ke Sath Anjaam Dete Hai toh ALLAH TA'ALA Ki Nazar Me Hamari Aur Hamare Us Amal Ki Ahmiyat Kya Hogi Iska Andaza Hadees Ke Alfaaz Se Lagaya Ja Sakta Hai.
Allah Taala Hum Sab Ko Nek Aamal Ki Pabandi Karne Ki Taufeeq De.
AMEEN
No comments:
Post a Comment