find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Nabi Ki wasiyat Nayi Fitno Se Bachna.

Shab-E-Meraj Ke Mauke Pe Kiye Jane wale kam Kya Yah Nabi Ki Sunnat Hai?
Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya
Meri wasiyat hai ke nai nai fitno aur nayi nayi biddaton me na padna, kyon ke ye sab gumrahi hain - chunache tum me se jo shaksh in halaat ko pale to ose chahiye ke wo meri aur mere hidayat yaafta khulafa e rashideen ki sunnat par qaa'em aur jame rahe aur meri is nasihat ko apne danton ke zarye mazboti se Dabale.
English
Allah's Messenger Said.
Beware of the newly invented matters, for indeed they are astray. Whoever among you sees that, then he must stick to my Sunnah and the Sunnah of the rightly guided Khulafa', cling to it with the molars.'"
Grade: Sahih (Darussalam)
*[Jami` at-Tirmidhi : 2676 ]
Biddat ka matlab, Jo cheez diin me naye Ijaad ki gayi ho usse kehte hain biddat.. har woh naye cheez jo kitab wa sunnat se sabit nahi woh Biddat Hai, zaahiri baat hai ke jo cheez Nabi e akram (ﷺ) aur sahaba kiram ke daur me na rahi ho wah baad ke daur me deen kaise ho jaayegi ?? Bidat ka matlab un kaamo se hai, Jo Allah aur Uske Rasool ko na-Pasand ho, aur unka Hukm Allah aur uske Rasool ki taraf se na ho..(Tirmizi)

Sabbe meraaj ki raat ko sawaab samajh kar e-badat karna kisi bhi Sahih hadees se sabit Nahi hai, Nato Nabi ﷺ ka hukum hai na hi kisi sahaba Ke amal se sabit hai.
Apne amal ka jaheza lijiye jo kaam diin samahj kar kiya jaraha hai kiya wo amal sahih Qur'an o hadees se sabit hai ya Nahi?? Allah hame Qur'an aur sahih Hadees ko samajhne wala banaye, Aameen ya Rabbul Aameen
---------------------------------------------------

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS