find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Sehari Aur Iftar Me Padhi Jane wali Dua. سحری اور افطار کے لے دعا

SEHRI AUR IFTAR KI DUA
  بسم اللہ الرحمٰن الرحیم
SEHRI KARNE SE PAHLE BISMILLAH
✔Rasool Allah Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne farmaya : ”jab tum me se koi khana khane lage to bismillah padhe”
📚Tirmizi 1858 Sahih- Darussalam

YAAD RAHE SEHRI KI KOI BHI DUA HADEES SE SABIT NAHI HAI Roza ki niyat dil se karni hai naaki zaban se alfaz ada karna hai. Niyat ke maane dil me irada karna Hai
✔Sheikh ul Islam Ibn Taymiyah farmate hain
“Jis ke dil me ye baat aagayi ke wo subah roza rakhega us ki niyyat hogayi."
📒(Al ikhtiyarat safa no. 191)

Dua ek ibadat hai aur ibadat hame usi tareeqe se karni hai jo tareeqa hame Hamare Nabi sallallaho alaihi wasallam ne sikhaya hai. Aur hamare Nabi ne SEHRI ki koi dua ni batayi. Sehri ki dua ijaad ki hui hai lehaza wo biddat hai. Hamare amal tabhi Qubul honge jab wo Rasool Allah sallallaho alaihi wasallam ke sunnat ke Mutabik honge.
__________________________________
IFTAR KARNE SE PAHLE BISMILLAH
📚Tirmizi 1858 Sahih- Darussalam

IFTAR KE BAAD KI DUA
✔Ibn Umar Radi Allahu’Anhu farmate hai:
Rasool Allah Sallallahu Aalaihi wasallam jab Iftar kar chukte the to yeh Duaa padte:

( ذهب الظمأ وابتلت العروق وثبت الأجر إن شاء الله )

” Zahabaz Zam’ou Wab’tallatil Ouru’qu Wa Sabatal Ajru In shaa Allah.”
Tarjuma
(Pyaas bujh gayi, ragein tar hogayi aur Ajr pakka ho gaya Insha’Allah)
📚(Abu Dawood, Haakim) Rawi Ibn Umar
[Saheeh ul-Jami’ 4678] (Hasan)
__________________________________
IFTAR KI GALAT DUA SE BACHEN⬇⬇
❌(Allaahumma laka sumtu wa ‘ala rizqika aftartu)❌
⬆Hamare kuch bhai bahen iftar ke bad ye dua padhte hai. Jabki Ye dua Sahi Hadees se sabit nahi hai. Isko Sheikh Albani ne Abu Dawood, 2358 me
Zaeef(unauthentic/weak/aitbar ke qabil nahi) kaha hai.
Yaad Rahe
✔Aisha Raziallahu anha se riwayat hai ke Mohammed sallallaho alaihi wasallam ne farmaya ” jisne hamare deen me kuch aisi bat shamil ki, Jispe hamara amal nahi hai, to wo Mardud hai.”
📚(Sahi bukhari,2697 Sahi Muslim,1718)
✔Abdullah ibn Umar  Raziallahu anhu farmate hain…
” Tamam Biddatein Gumrahi hain, agarche Ba-zahir woh , logo ko Achhi lagein”
📚Sunan kubra Baihaqi( hadees 138)

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS