Salat (NAMAj) NAHI TO ROZA QUBOOL Nahi
Nabi ﷺ ne farmaya (mafhum): Jisne bhi Namaz e asr tark kiya us ke amal zaya (barbad) hogaye.
(Hadees Bukhari 553)
Yani, Asar ki namaz janbuj kar chor dene se din bhar ke nek aamaal zaya ho jate hain aise mai roza bhi zaya ho jata hai be-namazi roozdar ko bhuka rehne ke siwa kuch aur faida nahi milta aur baaz Ulema kehte hain din bhar ki koi bhi namaz janbuj kar chorne se Aadmi ke nek aamaal zaya ho jate hain, yani kisi bhi nek amal ka sawab nahi milta wo isliye ke islam o kufr mai farq karne wali cheez Salat (NAMAZ) hai agar namaz nahi to kuch bhi nek amal qabile qubool nahi aur ek hadees mai Salat ka tark karna kufr kaha gaya hai ab admi roze rakhe aur phir namaz tark kar ke kufr kare to roza kaise qubool hai.
واللہ اعلم
No comments:
Post a Comment