Jannat me ek Aeisa bazar hai jisme jannati log har JUMAA ke din aaya karenge.
Hadith:
Anas bin malik Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ ne farmaya Jannat me ek aisa bazar hai jisme jannati log har Jumaa ke din aaya karenge phir shumali hawa(North wind) chalegi aur wahan ke gard o gubar (jo mushk aur zafran hai) unke chehron aur kapdon par daal degi jis se jannatiyo ka husn aur jamaal aur ziyada ho jayega phir jab wo apne gharwalon ki taraf lautenge is haal me ki unke husn aur jamal me ezafa ho chuka hoga to wo (unke gharwale) kahenge ki Allah ki qasam hamare bad to tumhare husn aur jamal me aur ezafa ho gaya hai, to wo kahenge ki Allah ki qasam hamare bad tumhare husn aur jamal me bhi ezafa ho gaya hai.
{Sahih Muslim , 2833}
No comments:
Post a Comment