find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Inteqal Hue Shakhs Ke Taraf Se Roze Rakhna.

Faut ho gye Logo ke Taraf Se Roza Rakhna Kaisa Hai?

Marhum (dead) ki taraf se roze , Sadqa aur hajj umrah ki dalil
1Hadith: ibn Abbasa Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek aurat  Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir huyee aur farmaya ki meri Behan ka inteqal ho gaya hai aur uskey zimme do maah ke rozey they Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya "batao agar tumhari Behan ke zimmey qarz hota to to kya tum ada karti?" To usney kaha ki  "kyun nahi jarur!" to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Allah ka haq us sey zyada hai ki Ada kiya jaye."
[Reference: Sunan ibn Majah, Vol 1, 1758-Sahih]
__________________
2Hadith: Hazrat buraidah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek Aurat  Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir huyee aur arz kiya ki "Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam meri walida ke zimmey rozey they aur unka inteqal ho gaya kya main unki janib se rozey rakh lu" ? Nabi Sallahu'alayhi wa'sallam ne Farmaya " haan!"
[Reference:Sunan ibn Majah, Vol 1, 1759-Sahih]
__________________
3Hadith: Ammi Ayesha [Momeeno ki Maa] se rivayat hai ki ek shaksh aaya aur usne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha ki "meri Maa Achanak mar gayee aur waseeyat na kar saki, agar wo bolti to jarur sadqa Deta, ab agar main Uski taraf se sadqa du to kya usey Sawab hai" ? Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya "HAAN!"
[Reference: Sahih Muslim, Vol 3, 2326]
____________________
4Hadith : *Abdullah bin Buraidah radi allahu anhu se rivayat hai ki ek aurat Rasool-Allah Sal-Alalahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huyee aur arz kiya ki "meri maa ka inteqal ho chuka hai aur unhone hajj nahi kiya hai kya main unki taraf se hajj kar sakti hu?" Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya "tum unki taraf se hajj karo."
[Jamia Tirmizi, Jild 1, 914-Sahih]
___________________
  JAZAK ALLAHU KHAIRAN
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS