find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Auraton ke Bnao Singaar ka Jayeza. (Part 04)

Auraton ko Apne Shauhar ke liye Zeb-o-Zeenat ikhtiyar karna.
Aurat Ke Banao Singaar Ke Shara'ee Ahkam  Part 4
  Banao Singaar Ke Hudood
Meri Maao Aur Behno Aapko Banao Singaar Se Muta'alliq 3 Baate Buniyadi Taur Par Zehen Me Rakhni Chahiye
1.Jis Banao Singaar Ko Shariat Ne Bilkul Mana Kiya Hai
Unhe Karna Kisi Bhi Aurat Ke Liye Jayez Nahi Hai
Chahe Shauhar Ya Koi Aur Unko Karne Ke Liye Kahe.. Chahe Wo Naraz Hi Kyu Na Ho Jaye. Kyunke Hadees Shareef Me Aaya Hai: Allah Ta'ala Ki Nafarmani Me Kisi Makhlooq Ki Itaa'at Jayez Nahi
2.Jis Banao Singaar Ko Shariat Ne Jayez Darje Me Rakha Hai
Usko Bhi Apne Shauhar Ki Haisiyat Ko Samne Rakh Kar Kare.
3.Aurat Shariat Ke Dayre Me Rah kar Singaar Kere To Uska Maqsad Shauhar Ko Khush Karna Ho.
Dusri Aurato, Aur Ghair Mehram Mardo Ko Dikhane Aur Itrane Ke Liye Na Ho...
Agar Shauhar Ko Dikhane Ke Liye Karegi....To Us Aurat Ko Sawab Milega..
Aur Agar Maqsad Itrana, Aur Ghair Mehram Mard Ya Dusri Aurato Ko Dikhane Aur Unpar Fakher Karne Ki Niyat Se Pehnegi To Gunahgar Hogi....
Isliye In Baato Se Bachna Zaroori Hai
Shadi Shudah Aurat baqadre Zaroorat Banao Singar Kare...Zyada Ban Than Kar Rehna Shariat Me Pasndeedah Nahi Hai...
Ye Bunayadi 3 Cheeze Apke Samne Zikr Kardi...
Ab In sha'Allah Kal Se Batayenge Ke Murawwajah Fashion Me Kaunsi Soorat Jayez Hai Aur Kaunsi Na jayez.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS