Find All types of Authentic Islamic Posts in English, Roman Urdu, Urdu and Hindi related to Quran, Namaz, Hadeeth, Ramzan, Haz, Zakat, Tauhid, Iman, Shirk, Islah-U-Nisa, Daily Hadith, Hayat-E-Sahaba and Islamic quotes.

Maa Baap (waldain) ke Huqooq Islam Me.

Maan Baap ke huqooq

Maa Baap ka haque Islam Me.
वालिदैन की ख़िदमत इस्लाम की नज़र में.
इस्लाम में माँ-बाप के हक़ूक़: फ़र्ज़, मोहब्बत और ख़िदमत.
इस्लाम ने माँ-बाप के हक़ूक़ को इंसान की ज़िंदगी का सबसे बड़ा फ़र्ज़ करार दिया है। कुरआन पाक में बार-बार वालिदैन की ख़िदमत और उनकी इज़्ज़त को ईमान का हिस्सा बताया गया है। माँ की गोद को जन्नत और बाप को दरवाज़ा-ए-जन्नत कहा गया है। इस्लाम की नज़र में माँ-बाप की ख़ुशी अल्लाह की ख़ुशी है और उनकी नाराज़गी अल्लाह की नाराज़गी। यही वजह है कि हर मुसलमान पर वालिदैन की मोहब्बत, ख़िदमत और इज़्ज़त लाज़िमी है।
Parental tips, Islamic thoughts, Muslim World, Maa Baap huqooq,
Islam Me Maa-Baap Ke Huqooq.

Allah Ta'ala Qur'an mein farmaata hai (Tarjama): Aur tumhaare Rab ne yeh hukm diya hai ke us ke siwa kisi ki Ibaadat na karo, aur maan baap ke saath achchha sulook karo, Agar maan baap mein se koi ek ya donon tumhaare saamne budhaape ko pahonch jaaein, to unhein "Uf" tak na kaho aur na unhein jhidko, balke un se izzat ke saath baat kiya karo, aur un ke saath muhabbat ka bartaao karte huwe un ke saamne apne aap ko inkesaari se jhukaao, aur yeh dua karo Aye Rab! Jis tarah inhon ne meri bachpan mein parwarish ki hai, aap bhi in ke saath rehmat ka muaamla kijiye. (Sura-e-Bani Israail 17: 23,24)
Ek shakhs ne Rasoolullah ﷺ se poochha: Aye Allah ke Rasool! Aulaad par maan baap ka kitna haq hai? Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Woh tumaari Jannat aur dozakh hain. (Ibne Maaja: 3662)

Nabi Akram ﷺ ne farmaaya: Allah Ta'ala ki razaamandi baap ki razaamandi mein hai aur Allah Ta'ala ki naaraazgi baap ki naaraazgi mein hai. (Tirmizi: 1899)
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare!
Share:

2 comments:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

POPULAR POSTS