Zina karne walo ka Jahannum me Dardnak azab .
BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM*
Zina Karne walon ko Jahannam me Dardnaak Aazab.
Al Quran : Aur Zina ke Qareeb bhi na jao
*beshak wo behayaee aur buri raah hai.
Surah Al-Isra (17) Aayat 32*
Hadith : Aap Sallallahu Alahai Wasallam ne farmaye maine Aaj Raat ek khawab dekha Hain ke do Aadmee mere paas Aaye unhone mere hath thaam liye aur mujhe aarz e Muqadas ki tarf le gaye ( aur waha se Aalam e bala ki mujhe sair karwaye) waha kya dekhta hu ke Ek Tanoor jaisa gadha hain Jiske upar Ka hissa to tang tha lakin neechay se khub farak neechay aag bhadak rahi thi jab aag ke shole bhadak Kar upar ko uthay to us Mai jalne wale log bhi upar uth aatay aur aisa malum hota ke ab wo bahar Nikal jaenge lakin jab shole dab jaate to wo log bhi neechay chale jaate us Tanoor Mai barhana ( Bina kapde ke ) Mard aur Aurat thay meine apne saathiyoh se Kaha tum logo ne* *mujhe raat bhar sair karayee kya Jo kuch meine Dekha uski tafseel bhi kuch bataoge Unhone Kaha Haan*
Jinhein Aap ne 'Tanoor' Mai Dekha to wo 'Zina Kar' thay.
Sahih Bukhari, Jild 2, 1386*
Upar Bayan ki Gayi Hadees se Maloom hua ki Zina Gunah E Kabeera hai aur Zina karne walon ke Sath Jahannam me Bura Anjaam hoga.
Zina Kari Karna hi Haram nahi Balke Har Wo Kaam karna Jayez nahi hai jo Zina Kari ke Kareeb Le Jata hai.
Allah Tamam Imaan Wale Naujawano ko Sahi Waqt par Nikah (Shadi) karne ki Taufeek Ata Farmaye aur Zina Kari se bachne ki Taufeek Ata Farmaye Aameen.
________________________
No comments:
Post a Comment