Jab Islam me Yah mana hi nahi hai to karne me kya Dikkat hai?
BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM*
--------------------------------------
*Jo log kisi Ebadat ke bare me Aisa kahte hain ki
Mna (मना) to nahi kiya gaya hai na, to kar le to kya diqqat hai?
--------------------------------------
Unko es Hadees pe dhayan dena chahiye.
----------------------------------------
👉Rasool Allah ﷺ ne farmaya:-
👉 *Har biddat (deen me nayi cheez) gumrahi hai or har gumrahi ka thekana jahnnam hai.
📚 [Sahi Muslim #867 or Book 4 Hadees 1885(USC-MSA Web English)]
Sunan Nasaii 1579 - Sahih(Islam 360)
👉Jisne hamare is *deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nahi hai to wo Amal mardud hai.*
📚 [Sahih al bukhari:2697(Islam 360)]
Es hadees se yahi pata chalta hai ki Ebadat me koi bhi aisi cheez khud se karne lag jana "bidat" hai jisko Rasoolullah ﷺ ne na kiya ho*.
Ab jo log kahte hain ki mana to nahi kiya gya hai na, to kar le to kya dikkat hai?
Rasoolullah ﷺ ne Namaz me *3 sajda karne se mna nahi kiya hai ab btaye koi kare to kya uski namaz ho jayegi.?
👆apka jawab hoga ki *nahi* , kyuki Rasoolullah ﷺ ne 2 hi sajda kiya hai.
To theek isi trah hame har cheez ki Ebadat me ye dekhna chahiye ki kya aisa karna Rasoolullah ﷺ se sabit hai ya nahi jis trah hum namaz me 3 sajda nahi karte usi tarah hame doosre ebadat me bhi nahi karna chahiye.
Allah ne farmaya:
*اَلۡیَوۡمَ اَکۡمَلۡتُ لَکُمۡ دِیۡنَکُمۡ وَ اَتۡمَمۡتُ عَلَیۡکُمۡ نِعۡمَتِیۡ وَ رَضِیۡتُ لَکُمُ الۡاِسۡلَامَ دِیۡنًا*
Ham ne tumhare liye Deen ko mukammal (complete) kar diya hai.
(matlab deen ke tariqe me koi bhi cheez joda ya hataya nahi ja sakta hai.)
📚 [Quran Surah mayda ayt: 3]
Ummid hai baat samjh aayi ho.
__________🍃🌼🍃__________
No comments:
Post a Comment